kuchh der to is aql ko aaram diya jae
kuchh der to is 'aql ko ārām diyā jaa.e
ai 'ishq tujhe aaj koī kaam diyā jaa.e
is bhiiḌ ke chehre pe koī naam nahīñ hai
is ḳhauf-zada bhiiḌ ko ik naam diyā jaa.e
apnā hī lahū rang badalne lagā yaksar
ye kis ne kahā ġhair ko ilzām diyā jaa.e
pairoñ se rahe gardish-e-ayyām ko nisbat
aur haath meñ ā.īna-e-ayyām diyā jaa.e
kuchh der to is 'aql ko aaram diya jae
ai 'ishq tujhe aaj koi kaam diya jae
is bhiD ke chehre pe koi nam nahin hai
is KHauf-zada bhiD ko ek nam diya jae
apna hi lahu rang badalne laga yaksar
ye kis ne kaha ghair ko ilzam diya jae
pairon se rahe gardish-e-ayyam ko nisbat
aur hath mein aaina-e-ayyam diya jae
- Book : Ishq (Pg. 47)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.