kuchh dinon hi be-dili diwar thi
kuchh dinoñ hī be-dilī dīvār thī
phir vahī dil thā vahī dīvār thī
maiñ ki apne aap se Takrā gayā
vaise to ik aur bhī dīvār thī
log is ke saa.e meñ baiThe the aur
zindagī girtī huī dīvār thī
auj par thī ḳhvāhish-e-tark-e-safar
par kisī kī hamrahī dīvār thī
ghar meñ donoñ rāt-bhar laḌte rahe
thā purānā dar na.ī dīvār thī
is jagah se kyoñ palaT jaatī hai mauj
is jagah par kyā koī dīvār thī
haañ mirī pahlī mohabbat kī gavāh
us galī kī āḳhirī dīvār thī
kuchh dinon hi be-dili diwar thi
phir wahi dil tha wahi diwar thi
main ki apne aap se Takra gaya
waise to ek aur bhi diwar thi
log is ke sae mein baiThe the aur
zindagi girti hui diwar thi
auj par thi KHwahish-e-tark-e-safar
par kisi ki hamrahi diwar thi
ghar mein donon raat-bhar laDte rahe
tha purana dar nai diwar thi
is jagah se kyon palaT jati hai mauj
is jagah par kya koi diwar thi
han meri pahli mohabbat ki gawah
us gali ki aaKHiri diwar thi
- Book : Ek Shaam Tumhare Hisse Ki (Pg. 27)
- Author : Kashif Husain Ghair
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.