Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh dinon se hansi ki zad mein hai

Arslan Abbas

kuchh dinon se hansi ki zad mein hai

Arslan Abbas

MORE BYArslan Abbas

    kuchh dinoñ se hañsī zad meñ hai

    dil-e-ġham bebasī zad meñ hai

    zindagī tumheñ batā.eñ kyā

    zindagī zindagī zad meñ hai

    pyaas kyā hai ye darūn-e-jāñ

    ruuh kis tishnagī zad meñ hai

    muddatoñ se bahut udaas hai dil

    jaane ye kis kamī zad meñ hai

    chārāgar aaj dil haal na pūchh

    aaj dil be-dilī zad meñ hai

    mujh ko mat ham-safar banā ki mirī

    zaat āvārgī zad meñ hai

    ye mirā haal jo sañvartā nahīñ

    ye tirī be-ruḳhī zad meñ hai

    har kisī meñ hai shor ik barpā

    har koī ḳhāmushī zad meñ hai

    jaane ab kis tarah kaTe 'abbās'

    zindagī rah-ravī zad meñ hai

    kuchh dinon se hansi ki zad mein hai

    dil-e-gham bebasi ki zad mein hai

    zindagi ka tumhein bataen kya

    zindagi zindagi ki zad mein hai

    pyas si kya hai ye darun-e-jaan

    ruh kis tishnagi ki zad mein hai

    muddaton se bahut udas hai dil

    jaane ye kis kami ki zad mein hai

    chaaragar aaj dil ka haal na puchh

    aaj dil be-dili ki zad mein hai

    mujh ko mat ham-safar bana ki meri

    zat aawargi ki zad mein hai

    ye mera haal jo sanwarta nahin

    ye teri be-ruKHi ki zad mein hai

    har kisi mein hai shor ek barpa

    har koi KHamushi ki zad mein hai

    jaane ab kis tarah kaTe 'abbas'

    zindagi rah-rawi ki zad mein hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now