kuchh dinon tak hi shanasai rahi

Chitra Bhardwaj suman

kuchh dinon tak hi shanasai rahi

Chitra Bhardwaj suman

MORE BYChitra Bhardwaj suman

  kuchh dinoñ tak shanāsā.ī rahī

  phir mirī shab mirī tanhā.ī rahī

  raunaq-e-mahfil na aa.ī kaam kuchh

  zindagī jab ḳhud se uktā.ī rahī

  vaqt-e-ruḳhsat ḳhuub barsī magar

  āñkhoñ meñ ġham ghaTā chhā.ī rahī

  dhīre dhīre zaḳhm āḳhir bhar ga.e

  bas zarā sūrat kajlā.ī rahī

  chalte chalte kho ga.e manzar kahīñ

  aañkh jin bhī tamannā.ī rahī

  Dhal gayā sūraj ujāle chhīn kar

  raat ke sar bazm-ārā.ī rahī

  yaad aa.egī kahāñ us ko 'suman'

  ishq meñ ab vo na gahrā.ī rahī

  kuchh dinon tak hi shanasai rahi

  phir meri shab meri tanhai rahi

  raunaq-e-mahfil na aai kaam kuchh

  zindagi jab KHud se uktai rahi

  waqt-e-ruKHsat KHub hi barsi magar

  aankhon mein gham ki ghaTa chhai rahi

  dhire dhire zaKHm aaKHir bhar gae

  bas zara surat hi kajlai rahi

  chalte chalte kho gae manzar kahin

  aankh jin ki bhi tamannai rahi

  Dhal gaya suraj ujale chhin kar

  raat ke sar bazm-arai rahi

  yaad aaegi kahan us ko 'suman'

  ishq mein ab wo na gahrai rahi

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

  GET YOUR FREE PASS
  Speak Now