Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh fasla nahin hai adu aur shikast mein

Akram Naqqash

kuchh fasla nahin hai adu aur shikast mein

Akram Naqqash

MORE BYAkram Naqqash

    kuchh fāsla nahīñ hai adū aur shikast meñ

    lekin koī surāġh nahīñ hai giraft meñ

    kuchh daḳhl iḳhtiyār ko ho būd-o-hast meñ

    sar kar luuñ ye jahān-e-alam ek jast meñ

    ab vādi-e-badan meñ koī boltā nahīñ

    suntā huuñ aap apnī sadā bāz-gasht meñ

    ruḳh hai mire safar alag terī samt aur

    ik su-e-murġh-zār chale ek dasht meñ

    kis shaah guzar hai ki maflūj jism-o-jāñ

    jaan se juTe hue haiñ band-o-bast meñ

    ye pūchh aa ke kaun nasīboñ jiyā hai dil

    mat dekh ye ki kaun sitāra hai baḳht meñ

    kis soz kasak hai nigāhoñ ke aas paas

    kis ḳhvāb shikast umaD aa.ī hai tasht meñ

    kuchh fasla nahin hai adu aur shikast mein

    lekin koi suragh nahin hai giraft mein

    kuchh daKHl iKHtiyar ko ho bud-o-hast mein

    sar kar lun ye jahan-e-alam ek jast mein

    ab wadi-e-badan mein koi bolta nahin

    sunta hun aap apni sada baz-gasht mein

    ruKH hai mere safar ka alag teri samt aur

    ek su-e-murgh-zar chale ek dasht mein

    kis shah ka guzar hai ki mafluj jism-o-jaan

    ji jaan se juTe hue hain band-o-bast mein

    ye puchh aa ke kaun nasibon jiya hai dil

    mat dekh ye ki kaun sitara hai baKHt mein

    kis soz ki kasak hai nigahon ke aas pas

    kis KHwab ki shikast umaD aai hai tasht mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now