aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh had bhi ai falak sitam-e-na-rawa ki hai

Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni

kuchh had bhi ai falak sitam-e-na-rawa ki hai

Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni

MORE BYRasool Jahan Begam Makhfi Badayuni

    kuchh had bhī ai falak sitam-e-nā-ravā hai

    har saañs dāstāñ tire jaur-o-jafā hai

    hājat-ravā aur na zarūrat duā hai

    ab chhoḌ chārasāz jo marzī ḳhudā hai

    dāmān-e-zabt chaak to kar de junūñ magar

    tauhīn ye mire dil-e-ġham-āshnā hai

    ḳhūn-e-hayāt ḳhūn-e-tarab ḳhūn-e-ārzū

    ye sharah-e-muḳhtasar mirī umr-e-vafā hai

    ġhairat ne merī ḳhud safīna Dubo diyā

    dekhā nazar phirī huī kuchh nāḳhudā hai

    barbādiyoñ se dars-e-baqā le rahī huuñ maiñ

    ye sunnat-e-kuhan shah-e-karb-o-balā hai

    irfān-e-ġham se nafs irfāñ huā nasīb

    sīḌhī ye pahlī ma.arifat-e-kibriyā hai

    ham se ḳhizāñ-nasīb qafas meñ bhī shaad haiñ

    laa.ī jo bū-e-gul ye ināyat sabā hai

    ḳhuddāriyoñ ne ziist ko āsāñ banā diyā

    betābiyoñ ḳhū hai na āh-o-bakā hai

    maanā ki tujh ko aish jannat nasīb hai

    tahqīr-e-ġham na kar ki ye ne.amat ḳhudā hai

    is zindagī ne saath kisī nahīñ diyā

    kis bevafā se tujh ko tamannā vafā hai

    kashtī ko merī maujoñ se pahuñchā nahīñ guzar

    minnat-gudāz ye karam-e-nāḳhudā hai

    'maḳhfī' panāh-e-chādar-e-zehrā na chhoḌnā

    ta.alīm-e-nau sunā hai ki dushman hayā hai

    kuchh had bhi ai falak sitam-e-na-rawa ki hai

    har sans dastan tere jaur-o-jafa ki hai

    hajat-rawa ki aur na zarurat dua ki hai

    ab chhoD chaarasaz jo marzi KHuda ki hai

    daman-e-zabt chaak to kar de junun magar

    tauhin ye mere dil-e-gham-ashna ki hai

    KHun-e-hayat KHun-e-tarab KHun-e-arzu

    ye sharah-e-muKHtasar meri umr-e-wafa ki hai

    ghairat ne meri KHud hi safina Dubo diya

    dekha nazar phiri hui kuchh naKHuda ki hai

    barbaadiyon se dars-e-baqa le rahi hun main

    ye sunnat-e-kuhan shah-e-karb-o-bala ki hai

    irfan-e-gham se nafs ka irfan hua nasib

    siDhi ye pahli marifat-e-kibriya ki hai

    hum se KHizan-nasib qafas mein bhi shad hain

    lai jo bu-e-gul ye inayat saba ki hai

    KHuddariyon ne zist ko aasan bana diya

    betabiyon ki KHu hai na aah-o-baka ki hai

    mana ki tujh ko aish ki jannat nasib hai

    tahqir-e-gham na kar ki ye neamat KHuda ki hai

    is zindagi ne sath kisi ka nahin diya

    kis bewafa se tujh ko tamanna wafa ki hai

    kashti ko meri maujon se pahuncha nahin guzar

    minnat-gudaz ye karam-e-naKHuda ki hai

    'maKHfi' panah-e-chadar-e-zehra na chhoDna

    talim-e-nau suna hai ki dushman haya ki hai

    Source:

    Uroos-e-sukhan (Pg. B-163 E-164)

    • Author: Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
      • Edition: 1946
      • Publisher: Matbua Dilli Printing Works, Delhi
      • Year of Publication: 1946
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now