Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh ilaj-e-dil-e-betab meri jaan ho jae

Suraj Narayan Mehr

kuchh ilaj-e-dil-e-betab meri jaan ho jae

Suraj Narayan Mehr

MORE BYSuraj Narayan Mehr

    kuchh ilāj-e-dil-e-betāb mirī jaañ ho jaa.e

    aaj agar vasl ke va.ade pe zarā haañ ho jaa.e

    ham-nashīñ is ko kahā karte haiñ sohbat asar

    tiir aa.e mire siine meñ aur armāñ ho jaa.e

    haq ne vo mus.haf-e-ruḳhsār tujhe baḳhshā hai

    ki jise dekh ke kāfir bhī musalmāñ ho jaa.e

    tarz-e-nāla sune andāz-e-fuġhāñ ko dekhe

    ġhair baiThe mirī sohbat meñ to insāñ ho jaa.e

    haif ai jazba-e-dil tujh se to ye bhī na huā

    ki mirī qabr pe vo shoḳh sitam-rāñ ho jaa.e

    terī āñkheñ yahī kartī haiñ ishāre zālim

    koī be-dil koī bismil koī be-jāñ ho jaa.e

    aab ḳhanjar ho nadāmat se pasīna qātil

    sāmne mujh agar koī garāñ-jāñ ho jaa.e

    paañv phailā.e agar vahshat-e-ḳhātir ne yahī

    mujhe Dar hai mirā ghar na bayābāñ ho jaa.e

    tere bismil ko tamanna ho agar jiine

    jauhar-e-ḳhanjar-e-ḳhuñḳhār rag-e-jāñ ho jaa.e

    ik jahāñ meñ tirā shohrā hai masīhā.ī

    kuchh hamāre bhī dil-e-zār darmāñ ho jaa.e

    tujh ko ai baḳht-e-siyah is liye ham laa.e the

    ki yaañ aa ke balā-e-shab-e-hijrāñ ho jaa.e

    kis ne dekhā hai qayāmat ko hamārā un

    faisla aaj honā hai jo kuchh haañ ho jaa.e

    aañkh saaqī jo palTe to palaT jaa.e jahāñ

    gardish-e-sāġhar-e-mai gardish-e-daurāñ ho jaa.e

    apnā māshūq hai vo ālam-e-tasvīr ai 'mehr'

    ki use dekhe to 'bahzād' bhī hairāñ ho jaa.e

    kuchh ilaj-e-dil-e-betab meri jaan ho jae

    aaj agar wasl ke wade pe zara han ho jae

    ham-nashin is ko kaha karte hain sohbat ka asar

    tir aae mere sine mein aur arman ho jae

    haq ne wo mushaf-e-ruKHsar tujhe baKHsha hai

    ki jise dekh ke kafir bhi musalman ho jae

    tarz-e-nala sune andaz-e-fughan ko dekhe

    ghair baiThe meri sohbat mein to insan ho jae

    haif ai jazba-e-dil tujh se to ye bhi na hua

    ki meri qabr pe wo shoKH sitam-ran ho jae

    teri aankhen yahi karti hain ishaare zalim

    koi be-dil koi bismil koi be-jaan ho jae

    aab KHanjar ho nadamat se pasina qatil

    samne mujh sa agar koi garan-jaan ho jae

    panw phailae agar wahshat-e-KHatir ne yahi

    mujhe Dar hai mera ghar hi na bayaban ho jae

    tere bismil ko tamanna ho agar jine ki

    jauhar-e-KHanjar-e-KHunKHar rag-e-jaan ho jae

    ek jahan mein tera shohra hai masihai ka

    kuchh hamare bhi dil-e-zar ka darman ho jae

    tujh ko ai baKHt-e-siyah is liye hum lae the

    ki tu yan aa ke bala-e-shab-e-hijran ho jae

    kis ne dekha hai qayamat ko hamara un ka

    faisla aaj hi hona hai jo kuchh han ho jae

    aankh saqi ki jo palTe to palaT jae jahan

    gardish-e-saghar-e-mai gardish-e-dauran ho jae

    apna mashuq hai wo aalam-e-taswir ai 'mehr'

    ki use dekhe to 'bahzad' bhi hairan ho jae

    Source:

    Kalam-e-Mehr (Pg. 89)

    • Author: Suraj Narayan Mehr
      • Publisher: Matba Mufeed-e-Aam, Lahore
      • Year of Publication: 1908
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now