Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh ishq-e-butan kuchh fikr-e-jahan dil yas ka mara kya kahiye

Mehr Zarreen

kuchh ishq-e-butan kuchh fikr-e-jahan dil yas ka mara kya kahiye

Mehr Zarreen

MORE BYMehr Zarreen

    kuchh ishq-e-butāñ kuchh fikr-e-jahāñ dil yaas maarā kyā kahiye

    kashtī ko talātum ḳhatra aur duur kināra kyā kahiye

    apnoñ ke hamesha jaur-o-sitam ġhairoñ sahārā kyā kahiye

    kis taur kiyā hai duniyā meñ do roz guzārā kyā kahiye

    bhaTkā huā aañsū palkoñ chilman meñ laraztā hai aise

    jaise ki ghaTā ke āñchal meñ uljhā huā taarā kyā kahiye

    ḳhud baiThe biThā.e rotā hai ḳhud baiThe biThā.e hañstā hai

    dil aas maarā kyā kahiye dil yaas maarā kyā kahiye

    sajdoñ meñ mohabbat ke 'zarrīñ' jab josh-e-ibādat hotā hai

    tab ke kisī ko tūfāñ meñ miltā hai kinārā kyā kahiye

    kuchh ishq-e-butan kuchh fikr-e-jahan dil yas ka mara kya kahiye

    kashti ko talatum ka KHatra aur dur kinara kya kahiye

    apnon ke hamesha jaur-o-sitam ghairon ka sahaara kya kahiye

    kis taur kiya hai duniya mein do roz guzara kya kahiye

    bhaTka hua aansu palkon ki chilman mein larazta hai aise

    jaise ki ghaTa ke aanchal mein uljha hua tara kya kahiye

    KHud baiThe biThae rota hai KHud baiThe biThae hansta hai

    dil aas ka mara kya kahiye dil yas ka mara kya kahiye

    sajdon mein mohabbat ke 'zarrin' jab josh-e-ibaadat hota hai

    tab ja ke kisi ko tufan mein milta hai kinara kya kahiye

    Source:

    Kashish (Pg. 127)

    • Author: Mehr Zarreen
      • Publisher: Educational Publishing House, Delhi
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now