Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh jaeza to lijiye apne bayan ka

Mohammad Mustahsan Jami

kuchh jaeza to lijiye apne bayan ka

Mohammad Mustahsan Jami

MORE BYMohammad Mustahsan Jami

    kuchh jā.eza to lījiye apne bayān

    tum se to mere dost ta'alluq hai maan

    vo ḳhud to raushnī ke safar pe ravāñ hai aur

    mujh ko pata diyā hai qadīmī makān

    barsoñ ke kār-e-ḳhair phal mil gayā mujhe

    naqsha milā hai mujh ko bhī sone kaan

    ye ishq safar hai so is par ravāñ raho

    kyā is meñ infirād hai pīr-o-javān

    ye be-muravvatī ke tamāñchoñ daur hai

    lagtā nahīñ hai koī mujhe is jahān

    kahtā hai maiñ ne hijr se lazzat kashīd

    ik baar muñh to dekhiye is ḳhush-gumān

    TuuTe hue diloñ jo marham na ban sake

    kyā fā.eda hai aise kisī bhī giyān

    vo phuul dastaras meñ kisī shaḳhs ke nahīñ

    is meñ bhalā qusūr kyā bāġhbān

    ik baar zindagī meñ kabhī dekhnā zarūr

    miTTī se lais jism kisī bhī kisān

    toḌe baġhair maiñ ne palaTnā nahīñ 'razā'

    chauḌā ho chāhe jitnā bhī siina chaTān

    kuchh jaeza to lijiye apne bayan ka

    tum se to mere dost ta'alluq hai man ka

    wo KHud to raushni ke safar pe rawan hai aur

    mujh ko pata diya hai qadimi makan ka

    barson ke kar-e-KHair ka phal mil gaya mujhe

    naqsha mila hai mujh ko bhi sone ki kan ka

    ye ishq ka safar hai so is par rawan raho

    kya is mein infirad hai pir-o-jawan ka

    ye be-murawwati ke tamanchon ka daur hai

    lagta nahin hai koi mujhe is jahan ka

    kahta hai main ne hijr se lazzat kashid ki

    ek bar munh to dekhiye is KHush-guman ka

    TuTe hue dilon ka jo marham na ban sake

    kya faeda hai aise kisi bhi giyan ka

    wo phul dastaras mein kisi shaKHs ke nahin

    is mein bhala qusur hi kya baghban ka

    ek bar zindagi mein kabhi dekhna zarur

    miTTi se lais jism kisi bhi kisan ka

    toDe baghair main ne palaTna nahin 'raza'

    chauDa ho chahe jitna bhi sina chaTan ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now