Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh KHwab se na KHwab ki tabir se hua

Shahabuddin Saqib

kuchh KHwab se na KHwab ki tabir se hua

Shahabuddin Saqib

MORE BYShahabuddin Saqib

    kuchh ḳhvāb se na ḳhvāb ta.abīr se huā

    duniyā saarā kaam to tadbīr se huā

    mansab to bas yahāñ pe muqaddar baat hai

    vo nāmvar huā hai to taqdīr se havā

    maiñ bandagān-e-dahr kab thā bhalā harīf

    merā to saarā kaam tāḳhīr se huā

    'ġhālib' ne ye to sach kahā thā ki dahr meñ

    rusvā huā jo apnī tahrīr se huā

    hālāt giraft meñ guzrī tamām umr

    tāham na shor kuchh mirī zanjīr se huā

    kuchh KHwab se na KHwab ki tabir se hua

    duniya ka sara kaam to tadbir se hua

    mansab to bas yahan pe muqaddar ki baat hai

    wo namwar hua hai to taqdir se hawa

    main bandagan-e-dahr ka kab tha bhala harif

    mera to sara kaam hi taKHir se hua

    'ghaalib' ne ye to sach hi kaha tha ki dahr mein

    ruswa hua jo apni hi tahrir se hua

    haalat ki giraft mein guzri tamam umr

    taham na shor kuchh meri zanjir se hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now