kuchh kisi ko yahan pata hi nahin
kuchh kisī ko yahāñ pata hī nahīñ
aisā lagtā hai kuchh huā hī nahīñ
'ishq karne ke baa'd bhī kuchh log
ye samajhte haiñ kuchh kiyā hī nahīñ
zindagī hai ki ik qayāmat hai
saañs lenā to mas.ala hī nahīñ
shahr-e-āshob thā jahān-e-malāl
ab to ye shahr boltā hī nahīñ
dekhnā dekh kar palaT jaanā
jaise vo mujh ko jāntā hī nahīñ
kuchh kisi ko yahan pata hi nahin
aisa lagta hai kuchh hua hi nahin
'ishq karne ke ba'd bhi kuchh log
ye samajhte hain kuchh kiya hi nahin
zindagi hai ki ek qayamat hai
sans lena to masala hi nahin
shahr-e-ashob tha jahan-e-malal
ab to ye shahr bolta hi nahin
dekhna dekh kar palaT jaana
jaise wo mujh ko jaanta hi nahin
- Book : Ishq (Pg. 58)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.