Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh ko ye zid hai ki hum usko yahin dekhenge

Safar Naqvi

kuchh ko ye zid hai ki hum usko yahin dekhenge

Safar Naqvi

MORE BYSafar Naqvi

    kuchh ko ye zid hai ki ham us ko yahīñ dekheñge

    kuchh ye kahte haiñ chalo chhoḌo vahīñ dekheñge

    qistoñ qistoñ meñ nihāreñge sarāpā terā

    ek baar meñ ham puurā nahīñ dekheñge

    ab ke paayā hai tumheñ pichhle baras se bhī hasīñ

    ya.anī ham agle baras aur hasīñ dekheñge

    kabhī barchhī anī lāsh-e-javāñ girtā alam

    ham jarī haiñ to ye manzar bhī hamīñ dekheñge

    ham se tai hogā zamāne meñ bulandī vaqār

    nok-e-neza se bhī ham nīche nahīñ dekheñge

    kab talak bhī hameñ girya-kunāñ dekhegā

    kab talak ham bhī tujhe taḳht-nashīñ dekheñge

    bhej de ab to use jis kiyā hai va.ada

    abhī aur sitam ahl-e-zamīñ dekheñge

    kuchh ko ye zid hai ki hum us ko yahin dekhenge

    kuchh ye kahte hain chalo chhoDo wahin dekhenge

    qiston qiston mein nihaarenge sarapa tera

    ek hi bar mein hum pura nahin dekhenge

    ab ke paya hai tumhein pichhle baras se bhi hasin

    yani hum agle baras aur hasin dekhenge

    kabhi barchhi ki ani lash-e-jawan girta alam

    hum jari hain to ye manzar bhi hamin dekhenge

    hum se tai hoga zamane mein bulandi ka waqar

    nok-e-neza se bhi hum niche nahin dekhenge

    kab talak tu bhi hamein girya-kunan dekhega

    kab talak hum bhi tujhe taKHt-nashin dekhenge

    bhej de ab to use jis ka kiya hai wada

    ya abhi aur sitam ahl-e-zamin dekhenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now