kuchh log hain jo apna sahaara samajhte hain
kuchh log haiñ jo apnā sahārā samajhte haiñ
varna to log ham ko be-chāra samajhte haiñ
rahtī hai vo raqīb kī bāñhoñ meñ āj-kal
par dost ab bhī us ko hamārā samajhte haiñ
ginvā na dost ham ko mohabbat ke fā.ede
hotā hai is meñ kitnā ḳhasārā samajhte haiñ
sab gaañv chhoḌ shahr meñ baste chale ga.e
kartā hai kaise koī kinārā samajhte haiñ
kahne ke baa'd bhī nahīñ aayā samajh tumheñ
sach meñ samajhne vaale ishāra samajhte haiñ
kuchh log hain jo apna sahaara samajhte hain
warna to log hum ko be-chaara samajhte hain
rahti hai wo raqib ki banhon mein aaj-kal
par dost ab bhi us ko hamara samajhte hain
ginwa na dost hum ko mohabbat ke faede
hota hai is mein kitna KHasara samajhte hain
sab ganw chhoD shahr mein baste chale gae
karta hai kaise koi kinara samajhte hain
kahne ke ba'd bhi nahin aaya samajh tumhein
sach mein samajhne wale ishaara samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.