kuchh na kuchh toDne ki aadat hai
kuchh na kuchh toḌne kī 'ādat hai
mujh ko sar phoḌne kī 'ādat hai
sub.h uThte hī mas.ala hai kuchh
sub.h sar phoḌne kī 'ādat hai
bel kī tarh chaḌh gayā hai vo
jo mujhe oḌhne kī 'ādat hai
gardanoñ ko milā liyā hai yuuñ
juuñ unheñ moḌne kī 'ādat hai
TūTte ghar meñ jo baḌe hoñge
un ko kab joḌne kī 'ādat hai
kuchh na kuchh toDne ki 'adat hai
mujh ko sar phoDne ki 'adat hai
subh uThte hi masala hai kuchh
subh sar phoDne ki 'adat hai
bel ki tarh chaDh gaya hai wo
jo mujhe oDhne ki 'adat hai
gardanon ko mila liya hai yun
jun unhen moDne ki 'adat hai
TuTte ghar mein jo baDe honge
un ko kab joDne ki 'adat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.