Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh na pai dil ne taskin aur kuchh pai to kya

Safi Aurangabadi

kuchh na pai dil ne taskin aur kuchh pai to kya

Safi Aurangabadi

MORE BYSafi Aurangabadi

    kuchh na paa.ī dil ne taskīñ aur kuchh paa.ī to kyā

    aisī sūrat se tirī sūrat nazar aa.ī to kyā

    ek dushman ke kahe par naaz vo bhī is qadar

    apne matlab ko kisī ne aap gaa.ī to kyā

    hosh aanā thā ki vo ḳhāse sitamgar ban ga.e

    haa.e qismat ki un ko aql bhī aa.ī to kyā

    o jafā-pesha shagufta ḳhātirī hai aur shai

    yuuñ hañsī aane ko rone meñ hañsī aa.ī to kyā

    aap apne dil se pūchheñ aap socheñ zarā

    merī aahoñ meñ agar tāsīr bhī aa.ī to kyā

    mere lāshe par agar tashrīf bhī laa.e to hech

    ba.ad mere un ko merī yaad bhī aa.ī to kyā

    apnī aadat se vo baaz aa jaa.eñ mumkin nahīñ

    kahne-sunñe se ghaḌī-bhar ko hayā aa.ī to kyā

    kuchh na kuchh aġhyār ne paTTī paḌhā.ī hai zarūr

    tum ne khāne ko mire sar qasam khaa.ī to kyā

    thā jo kuchh taqdīr honā vo ho kar rahā

    karne vāloñ ne jo bhī chāra-farmā.ī to kyā

    be-vafāoñ meñ to kuchh gintī nahīñ terī tarah

    ham ko kahtī hai agar maḳhlūq saudā.ī to kyā

    ai safī' tark-e-ta.alluq kar ke itrāte ho kyuuñ

    umr-bhar meñ ye huī hai tum se dānā.ī to kyā

    kuchh na pai dil ne taskin aur kuchh pai to kya

    aisi surat se teri surat nazar aai to kya

    ek dushman ke kahe par naz wo bhi is qadar

    apne matlab ko kisi ne aap ki gai to kya

    hosh aana tha ki wo KHase sitamgar ban gae

    hae ri qismat ki un ko aql bhi aai to kya

    o jafa-pesha shagufta KHatiri hai aur shai

    yun hansi aane ko rone mein hansi aai to kya

    aap apne dil se puchhen aap hi sochen zara

    meri aahon mein agar tasir bhi aai to kya

    mere lashe par agar tashrif bhi lae to hech

    baad mere un ko meri yaad bhi aai to kya

    apni aadat se wo baz aa jaen mumkin hi nahin

    kahne-sunne se ghaDi-bhar ko haya aai to kya

    kuchh na kuchh aghyar ne paTTi paDhai hai zarur

    tum ne khane ko mere sar ki qasam khai to kya

    tha jo kuchh taqdir ka hona wo ho kar hi raha

    karne walon ne jo ki bhi chaara-farmai to kya

    be-wafaon mein to kuchh ginti nahin teri tarah

    hum ko kahti hai agar maKHluq saudai to kya

    ai safi' tark-e-talluq kar ke itraate ho kyun

    umr-bhar mein ye hui hai tum se danai to kya

    Source:

    Kulliyat-e-Safi (Pg. 69)

    • Author: Safi Auranjabadi
      • Edition: 2000
      • Publisher: Urdu Acadami Hayderabad
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now