kuchh nahin dijiye to jaan zaruri hai miyan
kuchh nahīñ dījiye to jaan zarūrī hai miyāñ
'ishq meñ itnā to nuqsān zarūrī hai miyāñ
gaañv ke narm ravayyoñ meñ pale haiñ ham log
shahr meñ koī nigahbān zarūrī hai miyāñ
'ālam-e-hū meñ sahī shor to kar lene do
apne hone kā bhī e'lān zarūrī hai miyāñ
'umr bhar dhuul uḌāne pe bhī rahtā hai malāl
dasht meñ ḳhaak kī pahchān zarūrī hai miyāñ
kuchh nahin dijiye to jaan zaruri hai miyan
'ishq mein itna to nuqsan zaruri hai miyan
ganw ke narm rawayyon mein pale hain hum log
shahr mein koi nigahban zaruri hai miyan
'alam-e-hu mein sahi shor to kar lene do
apne hone ka bhi e'lan zaruri hai miyan
'umr bhar dhul uDane pe bhi rahta hai malal
dasht mein KHak ki pahchan zaruri hai miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.