kuchh nahin karta masiha to dawa deta hai
kuchh nahīñ kartā masīhā to davā detā hai
kaam rab kā hai shifā denā shifā detā hai
sub.h hote hī ujāloñ kā patā detā hai
vo jo sūraj hai charāġhoñ ko bujhā detā hai
merā mahbūb mujhe kaisī sazā detā hai
vaar kartā nahīñ nazroñ se girā detā hai
aag chupke se lagātā hai ishāroñ se koī
aa.e ilzām to phir haath uThā detā hai
ibtidā 'ishq kī hotī hai kaThin sī lekin
dard jab had se guzartā hai mazā detā hai
paas aatā hai sunātā hai kahānī ġham kī
koī kājal mirī āñkhoñ se bahā detā hai
pheñk kar shāḳh-e-samar-dār pe patthar 'mehrū'
koī mā'sūm parindoñ ko uḌā detā hai
kuchh nahin karta masiha to dawa deta hai
kaam rab ka hai shifa dena shifa deta hai
subh hote hi ujalon ka pata deta hai
wo jo suraj hai charaghon ko bujha deta hai
mera mahbub mujhe kaisi saza deta hai
war karta nahin nazron se gira deta hai
aag chupke se lagata hai ishaaron se koi
aae ilzam to phir hath uTha deta hai
ibtida 'ishq ki hoti hai kaThin si lekin
dard jab had se guzarta hai maza deta hai
pas aata hai sunata hai kahani gham ki
koi kajal meri aankhon se baha deta hai
phenk kar shaKH-e-samar-dar pe patthar 'mehru'
koi ma'sum parindon ko uDa deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.