aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh roz chahaton ka ajab silsila raha

Fahmida Mosarrat Ahmad

kuchh roz chahaton ka ajab silsila raha

Fahmida Mosarrat Ahmad

MORE BYFahmida Mosarrat Ahmad

    kuchh roz chāhatoñ ajab silsila rahā

    vo dhaḌkanoñ meñ pyaar sūrat basā rahā

    ik shaḳhs jis ko dil se bhulāyā thā baar baar

    ye dil ki phir bhī us ko sadā sochtā rahā

    jis ke junūñ meñ ham ne bitā tamām umr

    ye kyā ki umr bhar vo ham se ḳhafā rahā

    ye sach hai mujh se haath chhuḌā kar vo chukā

    jaatā use maiñ duur talak dekhtā rahā

    tum us be-ruḳhī pe pareshāñ ho kis liye

    dil toḌnā to us sadā mashġhala rahā

    chāhat meñ apnā zauq-e-safar bhī ajiib thā

    us se shauq-e-husn-e-'masarrat' sajā rahā

    kuchh roz chahaton ka ajab silsila raha

    wo dhaDkanon mein pyar ki surat basa raha

    ek shaKHs jis ko dil se bhulaya tha bar bar

    ye dil ki phir bhi us ko sada sochta raha

    jis ke junun mein hum ne bita di tamam umr

    ye kya ki umr bhar hi wo hum se KHafa raha

    ye sach hai mujh se hath chhuDa kar wo ja chuka

    jata use main dur talak dekhta raha

    tum us ki be-ruKHi pe pareshan ho kis liye

    dil toDna to us ka sada mashghala raha

    chahat mein apna zauq-e-safar bhi ajib tha

    us se hi shauq-e-husn-e-'masarrat' saja raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now