Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh rup-nagar ka zikr karo kuchh rang-mahal ki baat karo

Aziz Warsi

kuchh rup-nagar ka zikr karo kuchh rang-mahal ki baat karo

Aziz Warsi

MORE BYAziz Warsi

    kuchh rūp-nagar zikr karo kuchh rañg-mahal baat karo

    rañgīn fazā hai mahfil rañgīn ġhazal baat karo

    rindoñ ko na ab Tāloñ kal par rindoñ se na kal baat karo

    tum aaj hamāre saaqī ho tum aaj na halkī baat karo

    hai sub.h-e-banaras ruup us to shām-e-avadh gesū us ke

    vo merī ġhazal hai merī ġhazal tum merī ġhazal baat karo

    taqrīr lazzat be-ma.anī tahrīr nudrat lā-hāsil

    ye fikr-o-amal hai duniyā kuchh fikr-o-amal baat karo

    baiThe ho 'azīz' apne aise ahbāb rañgīñ mahfil meñ

    tauba ke tasavvur se pahle īmāñ ke ḳhalal baat karo

    kuchh rup-nagar ka zikr karo kuchh rang-mahal ki baat karo

    rangin faza hai mahfil ki rangin ghazal ki baat karo

    rindon ko na ab Talon kal par rindon se na kal ki baat karo

    tum aaj hamare saqi ho tum aaj na halki baat karo

    hai subh-e-banaras rup us ka to sham-e-awadh gesu us ke

    wo meri ghazal hai meri ghazal tum meri ghazal ki baat karo

    taqrir ki lazzat be-mani tahrir ki nudrat la-hasil

    ye fikr-o-amal ki hai duniya kuchh fikr-o-amal ki baat karo

    baiThe ho 'aziz' apne aise ahbab ki rangin mahfil mein

    tauba ke tasawwur se pahle iman ke KHalal ki baat karo

    Source:

    Mehraab (Pg. 44)

    • Author: Aziiz vaarsii
      • Edition: 1976
      • Publisher: Maktaba Nida-e-ittiihaad
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now