Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh shoKH hasinaon si rangin kitaben

Inam Sharar Ayyubi

kuchh shoKH hasinaon si rangin kitaben

Inam Sharar Ayyubi

MORE BYInam Sharar Ayyubi

    kuchh shoḳh hasīnāoñ rañgīn kitābeñ

    din-rāt mujhe detī haiñ taskīn kitābeñ

    insān tazlīl kiyā kartā hai in

    kartī nahīñ insān tauhīn kitābeñ

    sīkhā hai faqat in se jiine salīqa

    tahzīb-o-tamaddun haiñ aa.iin kitābeñ

    jab ġham se maiñ ghabrā ke taḌap jaatā huuñ aksar

    kartī haiñ mujhe sabr talqīn kitābeñ

    is nuur se māmūr azal se huuñ 'sharar' maiñ

    īmān kitābeñ haiñ mirā diin kitābeñ

    kuchh shoKH hasinaon si rangin kitaben

    din-raat mujhe deti hain taskin kitaben

    insan hi tazlil kiya karta hai in ki

    karti nahin insan ki tauhin kitaben

    sikha hai faqat in se hi jine ka saliqa

    tahzib-o-tamaddun ki hain aain kitaben

    jab gham se main ghabra ke taDap jata hun aksar

    karti hain mujhe sabr ki talqin kitaben

    is nur se mamur azal se hun 'sharar' main

    iman kitaben hain mera din kitaben

    Source:

    Harf Harf Sharar (Pg. 110)

    • Author: Inam Sharar Ayyubi
      • Publisher: Moazzam Ali
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now