Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh soch ke parwana mahfil mein jala hoga

Hafeez Banarasi

kuchh soch ke parwana mahfil mein jala hoga

Hafeez Banarasi

MORE BYHafeez Banarasi

    kuchh soch ke parvāna mahfil meñ jalā hogā

    shāyad isī marne meñ jiine mazā hogā

    har sa.ī-e-sitam par aañsū nikal aa.e haiñ

    anjām-e-tarab-koshī kyā jāniye kyā hogā

    gumrāh-e-mohabbat huuñ pūchho na mirī manzil

    har naqsh-e-qadam merā manzil patā hogā

    kyā terā mudāvā ho dard-e-shab-e-tanhā.ī

    chup rahiye to barbādī kahiye to gilā hogā

    katrā ke to jaate ho dīvāne ke raste se

    dīvāna lipaT jaa.e qadmoñ se to kyā hogā

    maiḳhāne se masjid tak milte haiñ nuqūsh-e-pā

    shaiḳh ga.e hoñge rind gayā hogā

    farzānoñ kyā kahnā har baat pe laḌte haiñ

    dīvāne se dīvāna shāyad laḌā hogā

    rindoñ ko 'hafīz' itnā samjhā de koī kar

    aapas meñ laḌoge tum vaa.iz bhalā hogā

    kuchh soch ke parwana mahfil mein jala hoga

    shayad isi marne mein jine ka maza hoga

    har sai-e-sitam par aansu nikal aae hain

    anjam-e-tarab-koshi kya jaaniye kya hoga

    gumrah-e-mohabbat hun puchho na meri manzil

    har naqsh-e-qadam mera manzil ka pata hoga

    kya tera mudawa ho dard-e-shab-e-tanhai

    chup rahiye to barbaadi kahiye to gila hoga

    katra ke to jate ho diwane ke raste se

    diwana lipaT jae qadmon se to kya hoga

    maiKHane se masjid tak milte hain nuqush-e-pa

    ya shaiKH gae honge ya rind gaya hoga

    farzanon ka kya kahna har baat pe laDte hain

    diwane se diwana shayad hi laDa hoga

    rindon ko 'hafiz' itna samjha de koi ja kar

    aapas mein laDoge tum waiz ka bhala hoga

    Source:

    Safeer-e-shar-e-dil (Pg. 62)

    • Author: Hafeez Banarsi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Hafeez Banarsi
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now