Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh tere intizar ne mara

Hasrat Saharvardi

kuchh tere intizar ne mara

Hasrat Saharvardi

MORE BYHasrat Saharvardi

    kuchh tire intizār ne maarā

    kuchh dil-e-be-qarār ne maarā

    kuchh ġham-e-dil ne kar diyā majbūr

    kuchh ġham-e-rozgār ne maarā

    the ḳhizāñ meñ bhī mutma.in ham log

    ham ko rangīñ bahār ne maarā

    nargis-e-ashk-bār saugand

    gesū-e-tābdār ne maarā

    do qadam rah ga.e the manzil ko

    ḳhizr ke e.atibār ne maarā

    yuuñ bhī dushvār thī na manzil-e-ishq

    ziist ke kārobār ne maarā

    aap ko hazrat-e-'saharvardī'

    ranjish-e-be-shumār ne maarā

    kuchh tere intizar ne mara

    kuchh dil-e-be-qarar ne mara

    kuchh gham-e-dil ne kar diya majbur

    kuchh gham-e-rozgar ne mara

    the KHizan mein bhi mutmain hum log

    hum ko rangin bahaar ne mara

    nargis-e-ashk-bar ki saugand

    gesu-e-tabdar ne mara

    do qadam rah gae the manzil ko

    KHizr ke eatibar ne mara

    yun bhi dushwar thi na manzil-e-ishq

    zist ke karobar ne mara

    aap ko hazrat-e-'saharwardi'

    ranjish-e-be-shumar ne mara

    Source:

    Boo-e-Gul Nala-e-Dil (Pg. 36)

    • Author: Hasrat Saharvardi
      • Publisher: Shalimar Publications, Hyderabad
      • Year of Publication: 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now