aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh tere naz-o-sitam aur uThana chahe

Syed Iqbal Rizvi Sharib

kuchh tere naz-o-sitam aur uThana chahe

Syed Iqbal Rizvi Sharib

MORE BYSyed Iqbal Rizvi Sharib

    kuchh tire nāz-o-sitam aur uThānā chāhe

    dil mirā aql se phir aañkh churānā chāhe

    apne hālāt koī mujh ko sunānā chāhe

    aur vo ik baat jo mujh se chhupānā chāhe

    merī ḳhvāhish ki terī yaad se ġhāfil na rahūñ

    fikr-e-duniyā terī yādoñ ko miTānā chāhe

    zehn duniyā haqīqat ko samajhne pe musir

    dil ki bas ḳhvāboñ bastī meñ Thikānā chāhe

    maiñ akelā to nahīñ us adā mahsūr

    kuchh sabab hai ke use saarā zamāna chāhe

    jis ko duniyā se hai āshufta-mizājī gila

    vo bhī is ālam-e-fānī se na jaanā chāhe

    ham ne ḳhāliq razā par kahāñ tolī har baat

    bas vahī karte haiñ jo nafs karānā chāhe

    kaun pahchāne hai 'shārib' tujhe is vaadī meñ

    bin ta.āruf to koī yaañ se na jaanā chāhe

    kuchh tere naz-o-sitam aur uThana chahe

    dil mera aql se phir aankh churana chahe

    apne haalat koi mujh ko sunana chahe

    aur wo ek baat jo mujh se hi chhupana chahe

    meri KHwahish ki teri yaad se ghafil na rahun

    fikr-e-duniya teri yaadon ko miTana chahe

    zehn duniya ki haqiqat ko samajhne pe musir

    dil ki bas KHwabon ki basti mein Thikana chahe

    main akela to nahin us ki ada ka mahsur

    kuchh sabab hai ke use sara zamana chahe

    jis ko duniya se hai aashufta-mizaji ka gila

    wo bhi is aalam-e-fani se na jaana chahe

    hum ne KHaliq ki raza par kahan toli har baat

    bas wahi karte hain jo nafs karana chahe

    kaun pahchane hai 'shaarib' tujhe is wadi mein

    bin taaruf to koi yan se na jaana chahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now