kuchh to bol ai sada hua kya hai
kuchh to bol ai 'sadā' huā kyā hai
dil jo thāmā hai mājrā kyā hai
but haiñ rūThe ḳhum-o-subū chhuTe
ab ḳhudā ko tū DhūñDhtā kyā hai
dil ye TuuTā hai sau dafa yaaro
hādisa aaj kuchh nayā kyā hai
ek hī dar se jab mile sab kuchh
haath phailātā jā-ba-jā kyā hai
dil to patthar se saḳht hai terā
phir ye chehra gulāb sā kyā hai
ik nazar ḳhāksār par bhī ho
jaatā kuchh bhī janāb kā kyā hai
sher kahtā hai ḳhuub tū varna
terī auqāt ai 'sadā' kyā hai
kuchh to bol ai 'sada' hua kya hai
dil jo thama hai majra kya hai
but hain ruThe KHum-o-subu chhuTe
ab KHuda ko tu DhunDhta kya hai
dil ye TuTa hai sau dafa yaro
hadisa aaj kuchh naya kya hai
ek hi dar se jab mile sab kuchh
hath phailata ja-ba-ja kya hai
dil to patthar se saKHt hai tera
phir ye chehra gulab sa kya hai
ek nazar KHaksar par bhi ho
jata kuchh bhi janab ka kya hai
sher kahta hai KHub tu warna
teri auqat ai 'sada' kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.