Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh to gham-KHana-e-hasti mein ujala hota

Aslam Ansari

kuchh to gham-KHana-e-hasti mein ujala hota

Aslam Ansari

MORE BYAslam Ansari

    kuchh to ġham-ḳhāna-e-hastī meñ ujālā hotā

    chāñd chamkā hai to ehsās bhī chamkā hotā

    ā.īna-ḳhāna-e-ālam meñ khaḌā sochtā huuñ

    maiñ na hotā to yahāñ kaun chehra hotā

    ḳhud bhī gum ho ga.e ham apnī sadāoñ tarah

    dasht-e-furqat meñ tujhe yuuñ na pukārā hotā

    husn-e-iz.hār ne ra.anā.ī atā ġham ko

    gul agar rañg na hotā to sharāra hotā

    ham bhī ehsās tasvīr banā sakte the

    kaash ham pe kabhī iz.hār dar hotā

    fursat-e-shauq na karb-e-vafā ne ronā

    koī e.ajāz to ham ne bhī dikhāyā hotā

    ham ko pahchān ki ai bazm-e-chaman-zār-e-vajūd

    ham na hote to tujhe kis ne sañvārā hotā

    ek sūrat se huā naqsh-e-do-ālam ko faroġh

    ā.īna TuuT na jaatā to tamāshā hotā

    ham ne har ḳhvāb ko ta.abīr atā 'aslam'

    varna mumkin thā ki har naqsh adhūrā hotā

    kuchh to gham-KHana-e-hasti mein ujala hota

    chand chamka hai to ehsas bhi chamka hota

    aaina-KHana-e-alam mein khaDa sochta hun

    main na hota to yahan kaun sa chehra hota

    KHud bhi gum ho gae hum apni sadaon ki tarah

    dasht-e-furqat mein tujhe yun na pukara hota

    husn-e-izhaar ne ranai ata ki gham ko

    gul agar rang na hota to sharara hota

    hum bhi ehsas ki taswir bana sakte the

    kash hum pe kabhi izhaar ka dar wa hota

    fursat-e-shauq na di karb-e-wafa ne rona

    koi eajaz to hum ne bhi dikhaya hota

    hum ko pahchan ki ai bazm-e-chaman-zar-e-wajud

    hum na hote to tujhe kis ne sanwara hota

    ek surat se hua naqsh-e-do-alam ko farogh

    aaina TuT na jata to tamasha hota

    hum ne har KHwab ko tabir ata ki 'aslam'

    warna mumkin tha ki har naqsh adhura hota

    Source:

    Range-e-Gazal (Pg. 125)

    • Author: shahzaad ahmad
      • Edition: 1988
      • Publisher: Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now