Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh to main hi pagal tha aur kuchh tha us ka pagal-pan

Prashant Sharma Daraz

kuchh to main hi pagal tha aur kuchh tha us ka pagal-pan

Prashant Sharma Daraz

MORE BYPrashant Sharma Daraz

    kuchh to maiñ pāgal thā aur kuchh thā us pāgal-pan

    socho maiñ ne jhelā hogā kitnā kitnā pāgal pan

    shab bhar jagnā chup chup rahnā ye kaisī hai riit na.ī

    ishq mohabbat Thiik hai lekin aisā kaisā pāgal-pan

    aaj alag haiñ ham donoñ to sochī-samjhī sāzish hai

    kuchh to us marzī hai aur kuchh hai merā pāgal-pan

    ham donoñ meñ kuchh to thā par kyā thā vo kuchh yaad nahīñ

    kuchh logoñ ne ishq batāyā kuchh kahnā pāgal-pan

    mujh ko pāgal kahtī ho tum maan liyā maiñ pāgal huuñ

    lekin maiñ jo pāgal huuñ to tum ho merā pāgal-pan

    un āñkhoñ par haath rakhā phir un hoñToñ ko chuum liyā

    us ne pūchhā kyā hai ye sab maiñ ne bolā pāgal-pan

    kuchh to main hi pagal tha aur kuchh tha us ka pagal-pan

    socho main ne jhela hoga kitna kitna pagal pan

    shab bhar jagna chup chup rahna ye kaisi hai rit nai

    ishq mohabbat Thik hai lekin aisa kaisa pagal-pan

    aaj alag hain hum donon to sochi-samjhi sazish hai

    kuchh to us ki marzi hai aur kuchh hai mera pagal-pan

    hum donon mein kuchh to tha par kya tha wo kuchh yaad nahin

    kuchh logon ne ishq bataya kuchh ka kahna pagal-pan

    mujh ko pagal kahti ho tum man liya main pagal hun

    lekin main jo pagal hun to tum ho mera pagal-pan

    un aankhon par hath rakha phir un honTon ko chum liya

    us ne puchha kya hai ye sab main ne bola pagal-pan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now