kuchh to pas bacha kar rakho sab kuchh karobar na jaano
kuchh to paas bachā kar rakho sab kuchh kārobār na jaano
dil ke darvāze mat kholo is ghar ko bāzār na jaano
maanā rasta bahut kaThin hai phir bhī sāya-dār shajar haiñ
Tahnī ko talvār na samjho āñchal ko dīvār na jaano
sab kuchh us ko de aaya huuñ sab kuchh us se le aaya huuñ
merī jiit ko jiit na samjho merī haar ko haar na jaano
din-bhar dhuup meñ chalte chalte ham donoñ kī shaam huī hai
thak kar bāñhoñ meñ so jaanā ye jismānī pyaar na jaano
titlī ke nāzuk pankhoñ par aañsū kī tahrīr ġhazal hai
lafzoñ kī mīnā-kārī ko ilhāmī ash.ār na jaano
kuchh to pas bacha kar rakho sab kuchh karobar na jaano
dil ke darwaze mat kholo is ghar ko bazar na jaano
mana rasta bahut kaThin hai phir bhi saya-dar shajar hain
Tahni ko talwar na samjho aanchal ko diwar na jaano
sab kuchh us ko de aaya hun sab kuchh us se le aaya hun
meri jit ko jit na samjho meri haar ko haar na jaano
din-bhar dhup mein chalte chalte hum donon ki sham hui hai
thak kar banhon mein so jaana ye jismani pyar na jaano
titli ke nazuk pankhon par aansu ki tahrir ghazal hai
lafzon ki mina-kari ko ilhami ashaar na jaano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.