kuchh udasi sham ki halki karo
kuchh udāsī shaam kī halkī karo
aa bhī jaao yaar ab jaldī karo
paḌ gayā phir se ujāloñ kā akaal
aa ke thoḌī raushnī jaarī karo
saarī bāteñ nā-munāsib haiñ yahāñ
ḳhud ko kis kis baat pe raazī karo
raat ke pahlū meñ rahnā hai to phir
raat kī farmā.isheñ puurī karo
chāñd se parda haTāo abr kā
be-sabab ye raat mat kaalī karo
tum ko jaldī hai pahuñchne kī magar
moḌ par raftār to dhīmī karo
bām-o-dar kitne purāne ho ga.e
vaqt hai ab tum ye ghar ḳhālī karo
kuchh udasi sham ki halki karo
aa bhi jao yar ab jaldi karo
paD gaya phir se ujalon ka akal
aa ke thoDi raushni jari karo
sari baaten na-munasib hain yahan
KHud ko kis kis baat pe raazi karo
raat ke pahlu mein rahna hai to phir
raat ki farmaishen puri karo
chand se parda haTao abr ka
be-sabab ye raat mat kali karo
tum ko jaldi hai pahunchne ki magar
moD par raftar to dhimi karo
baam-o-dar kitne purane ho gae
waqt hai ab tum ye ghar KHali karo
- Book : Raushni Jaari Karo
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.