Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh wote kamane ki KHatir kya KHun bahana lazim hai

Shamsher Khan

kuchh wote kamane ki KHatir kya KHun bahana lazim hai

Shamsher Khan

MORE BYShamsher Khan

    kuchh vote kamāne ḳhātir kyā ḳhuun bahāna lāzim hai

    jab baat amn ho har kyā baat baḌhānā lāzim hai

    tum ahl-e-siyāsat kyā jaano ham ahl-e-qalam ke jazboñ ko

    jo ḳhūn-e-jigar se likh deñ to sab ghabrānā lāzim hai

    aḳhbār to jhūTe haiñ aksar ye ham ko kyā samjhā.eñge

    kab kis ko uThānā behtar hai kab kis ko girānā lāzim hai

    bātoñ zamāna ḳhatm huā hāthoñ zamāna aayā hai

    dil aaj hamārā kahtā hai kuchh kar ke dikhānā lāzim hai

    dīvār uThā kar maz.hab netā ne kursī paa.ī hai

    phir ahl-e-vatan ne maanā hai dīvār girānā lāzim hai

    kuchh wote kamane ki KHatir kya KHun bahana lazim hai

    jab baat amn ki ho har su kya baat baDhana lazim hai

    tum ahl-e-siyasat kya jaano hum ahl-e-qalam ke jazbon ko

    jo KHun-e-jigar se likh den to sab ka ghabrana lazim hai

    aKHbar to jhuTe hain aksar ye hum ko kya samjhaenge

    kab kis ko uThana behtar hai kab kis ko girana lazim hai

    baaton ka zamana KHatm hua hathon ka zamana aaya hai

    dil aaj hamara kahta hai kuchh kar ke dikhana lazim hai

    diwar uTha kar mazhab ki neta ne kursi pai hai

    phir ahl-e-watan ne mana hai diwar girana lazim hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now