Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh zindagi mein ishq-o-wafa ka hunar bhi rakh

Aziz Ansari

kuchh zindagi mein ishq-o-wafa ka hunar bhi rakh

Aziz Ansari

MORE BYAziz Ansari

    kuchh zindagī meñ ishq-o-vafā hunar bhī rakh

    rishta ḳhushī se joḌ ġham-e-mo'tabar meñ rakh

    shahroñ meñ zindagī safar ab muhāl hai

    behtar to ye hai sahrā pe apnī nazar bhī rakh

    duniyā ke hādsāt se bhī rakh vāsta

    hālāt ghar ke kaise haiñ is ḳhabar bhī rakh

    talvār se fat.h to miltī nahīñ kabhī

    nādān pahle apnī hathelī pe sar bhī rakh

    ummīd us ke rahm-o-karam bhī rakh zarūr

    dāman ko apne ashk-e-nadāmat se tar bhī rakh

    gar zindagī meñ chāhtā hai sar-bulandiyāñ

    pahle kisī faqīr ke qadmoñ pe sar bhī rakh

    gar aarzū hai tujh ko mile manzil-e-hayāt

    is aarzū meñ ḳhud ko to mahv-e-safar bhī rakh

    is dilkashī meñ chāñd ḳhud ko na bhuul

    apnī nazar meñ jalva-e-shaqqul-qamar bhī rakh

    shāhoñ ke dar pe jaane se maiñ roktā nahīñ

    lekin ḳhānqāhoñ meñ apnā guzar bhī rakh

    dānoñ ke vāste zamīñ par bhī aa 'azīz'

    har-chand āsmānoñ pe apnā ghar bhī rakh

    kuchh zindagi mein ishq-o-wafa ka hunar bhi rakh

    rishta KHushi se joD gham-e-mo'tabar mein rakh

    shahron mein zindagi ka safar ab muhaal hai

    behtar to ye hai sahra pe apni nazar bhi rakh

    duniya ke hadsat se bhi rakh tu wasta

    haalat ghar ke kaise hain is ki KHabar bhi rakh

    talwar hi se fath to milti nahin kabhi

    nadan pahle apni hatheli pe sar bhi rakh

    ummid us ke rahm-o-karam ki bhi rakh zarur

    daman ko apne ashk-e-nadamat se tar bhi rakh

    gar zindagi mein chahta hai sar-bulandiyan

    pahle kisi faqir ke qadmon pe sar bhi rakh

    gar aarzu hai tujh ko mile manzil-e-hayat

    is aarzu mein KHud ko to mahw-e-safar bhi rakh

    is dilkashi mein chand ki KHud ko na bhul ja

    apni nazar mein jalwa-e-shaqqul-qamar bhi rakh

    shahon ke dar pe jaane se main rokta nahin

    lekin tu KHanqahon mein apna guzar bhi rakh

    danon ke waste tu zamin par bhi aa 'aziz'

    har-chand aasmanon pe tu apna ghar bhi rakh

    Source:

    Bole Meri Gazal (Pg. 53)

    • Author: Aziz Ansari
      • Edition: 2000
      • Publisher: Aziz Ansari, Station Director Akashvani Jalgaon
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now