Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kudurat se ghubar-aluda aaina nahin rahta

Asjad Nazri Nazar

kudurat se ghubar-aluda aaina nahin rahta

Asjad Nazri Nazar

MORE BYAsjad Nazri Nazar

    kudūrat se ġhubār-ālūda ā.īna nahīñ rahtā

    mire chehre pe koī dūsrā chehra nahīñ rahtā

    ġhamoñ dhuup se chehre vahāñ murjhā.e rahte haiñ

    tirī zulf-e-mo.ambar jahāñ saaya nahīñ rahtā

    koī manzar bhī ho afsurda afsurda lagtā hai

    tasavvur meñ kisī jab ruḳh-e-zebā nahīñ rahtā

    dar-o-dīvār se ye kaisī vīrānī Tapaktī hai

    tirī bastī meñ dīvāne ab charchā nahīñ rahtā

    halāk-e-kārobār-e-ġham bhī rah kar ai 'nazar' ḳhush huuñ

    laboñ par gardish-e-taqdīr shikva nahīñ rahtā

    kudurat se ghubar-aluda aaina nahin rahta

    mere chehre pe koi dusra chehra nahin rahta

    ghamon ki dhup se chehre wahan murjhae rahte hain

    teri zulf-e-moambar ka jahan saya nahin rahta

    koi manzar bhi ho afsurda afsurda sa lagta hai

    tasawwur mein kisi ka jab ruKH-e-zeba nahin rahta

    dar-o-diwar se ye kaisi virani Tapakti hai

    teri basti mein diwane ka ab charcha nahin rahta

    halak-e-karobar-e-gham bhi rah kar ai 'nazar' KHush hun

    labon par gardish-e-taqdir ka shikwa nahin rahta

    Source:

    (Pg. 279)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now