Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kufr bhi ruKHsat hai iman raegan karne ke baad

Natiq Azmi

kufr bhi ruKHsat hai iman raegan karne ke baad

Natiq Azmi

MORE BYNatiq Azmi

    kufr bhī ruḳhsat hai īmāñ rā.egāñ karne ke baad

    karte haiñ zikr-e-ḳhudā zikr-e-butāñ karne ke baad

    ashk umañD aate haiñ ḳhud zabt-e-fuġhāñ karne ke baad

    dard baTtā hai kisī ko rāzdāñ karne ke baad

    iḳhtiyār-e-nāz kyā ho jabr-e-fitrat gila

    diye lab aag siine meñ nihāñ karne ke baad

    ban ga.ī fitrat harīf-e-sheva-e-iz.hār-e-ġham

    hañs rahā huuñ ashk āñkhoñ se ravāñ karne ke baad

    saikḌoñ afsāne ik ik harf meñ paatā huuñ maiñ

    us hasīñ naam zeb-e-dāstāñ karne ke baad

    gulsitāñ har kalī har phuul terā hai magar

    ḳhār-o-ḳhas se paak sehn-e-gulistāñ karne ke baad

    miT ga.iiñ 'nātiq' ġham-e-jānāñ saarī kulfateñ

    shā.erī meñ sharh-e-ranj-e-do-jahāñ karne ke baad

    kufr bhi ruKHsat hai iman raegan karne ke baad

    karte hain zikr-e-KHuda zikr-e-butan karne ke baad

    ashk umanD aate hain KHud zabt-e-fughan karne ke baad

    dard baTta hai kisi ko raazdan karne ke baad

    iKHtiyar-e-naz kya ho jabr-e-fitrat ka gila

    si diye lab aag sine mein nihan karne ke baad

    ban gai fitrat harif-e-shewa-e-izhaar-e-gham

    hans raha hun ashk aankhon se rawan karne ke baad

    saikDon afsane ek ek harf mein pata hun main

    us hasin ka nam zeb-e-dastan karne ke baad

    gulsitan ki har kali har phul tera hai magar

    KHar-o-KHas se pak sehn-e-gulistan karne ke baad

    miT gain 'natiq' gham-e-jaanan ki sari kulfaten

    shaeri mein sharh-e-ranj-e-do-jahan karne ke baad

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now