Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kufr ko iman bana de zindagi ai zindagi

Urooj Zehra Zaidi

kufr ko iman bana de zindagi ai zindagi

Urooj Zehra Zaidi

MORE BYUrooj Zehra Zaidi

    kufr ko īmāñ banā de zindagī ai zindagī

    farq-e-īn-o-āñ miTā de zindagī ai zindagī

    mujh ko ik-tarfa sazā de zindagī ai zindagī

    dard-e-dil ko dil banā de zindagī ai zindagī

    aah ko naġhma banā de zindagī ai zindagī

    merī lai meñ lai milā de zindagī ai zindagī

    jab ḳhilāf-e-maslahat hai izn-e-‘arz-e-mudda.ā

    ḳhud-kalāmī sikhā de zindagī ai zindagī

    vo ajal jo fitratan hai dushman-e-husn-e-‘amal

    us ko qadmoñ par jhukā de zindagī ai zindagī

    jurm-e-nā-karda-gunāhī bhī hai jurm-e-nā-sazā

    haañ mujhe is sazā de zindagī ai zindagī

    mauj-e-sail-e-ġham ne jo chhīnā hai tujh se vo sukūñ

    nāḳhudā de ḳhudā de zindagī ai zindagī

    inqilāb-e-vaqt ham-qadam ho jā.egī

    ye tire kāfir irāde zindagī ai zindagī

    dil dhaḌkan baḌh rahī hai barq-raftārī ke saath

    jo chāhe vo du'ā de zindagī ai zindagī

    'umr-bhar sogvārī talāfī chāhiye

    muskurā de muskurā de zindagī ai zindagī

    har qadam par har nafas par terā dam bhartā huuñ maiñ

    dād-e-andāz-e-vafā de zindagī ai zindagī

    mere dil har taḌap hai be-qarārī dalīl

    mauj sāhil-āshnā de zindagī ai zindagī

    aaj tak ne dikhā.e haiñ jo ḳhvāb-e-nau-ba-nau

    un ko ā.īna banā de zindagī ai zindagī

    maiñ ne dil se shah ko nazr-e-dushman-e-jāñ kar diyā

    ab sazā de jazā de zindagī ai zindagī

    to ab āsān kar dushvārī-e-sa'ī-e-'urūj'

    ise patthar banā de zindagī ai zindagī

    kufr ko iman bana de zindagi ai zindagi

    farq-e-in-o-an miTa de zindagi ai zindagi

    mujh ko ik-tarfa saza de zindagi ai zindagi

    dard-e-dil ko dil bana de zindagi ai zindagi

    aah ko naghma bana de zindagi ai zindagi

    meri lai mein lai mila de zindagi ai zindagi

    jab KHilaf-e-maslahat hai izn-e-‘arz-e-muddaa

    KHud-kalami hi sikha de zindagi ai zindagi

    wo ajal jo fitratan hai dushman-e-husn-e-‘amal

    us ko qadmon par jhuka de zindagi ai zindagi

    jurm-e-na-karda-gunahi bhi hai jurm-e-na-saza

    han mujhe is ki saza de zindagi ai zindagi

    mauj-e-sail-e-gham ne jo chhina hai tujh se wo sukun

    naKHuda de ya KHuda de zindagi ai zindagi

    inqilab-e-waqt ki tu ham-qadam ho jaegi

    ye tere kafir irade zindagi ai zindagi

    dil ki dhaDkan baDh rahi hai barq-raftari ke sath

    tu jo chahe wo du'a de zindagi ai zindagi

    'umr-bhar ki sogwari ki talafi chahiye

    muskura de muskura de zindagi ai zindagi

    har qadam par har nafas par tera dam bharta hun main

    dad-e-andaz-e-wafa de zindagi ai zindagi

    mere dil ki har taDap hai be-qarari ki dalil

    mauj sahil-ashna de zindagi ai zindagi

    aaj tak tu ne dikhae hain jo KHwab-e-nau-ba-nau

    un ko aaina bana de zindagi ai zindagi

    main ne dil se shah ko nazr-e-dushman-e-jaan kar diya

    ab saza de ya jaza de zindagi ai zindagi

    ya to ab aasan kar dushwari-e-sa'i-e-'uruj'

    ya ise patthar bana de zindagi ai zindagi

    Source:

    Tahreek Jild 22 Shumara 2 May 1974-Svk (Pg. 7)

      • Publisher: Gopal Mittal
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now