Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kufr se ye jo munawwar meri peshani hai

Zafar Iqbal

kufr se ye jo munawwar meri peshani hai

Zafar Iqbal

MORE BYZafar Iqbal

    kufr se ye jo munavvar mirī peshānī hai

    zāhir is se bhī mirā jazba-e-īmānī hai

    ye jo yaksūī mayassar hai mujhe shaam o sahar

    sar-ba-sar mere liye vaj.h-e-pareshānī hai

    is kināre pe faqat maiñ huuñ akelā ḳhālī

    nahr ke dūsrī jānib mirī hairānī hai

    ḳhaak uḌtī hai to har-sū mire andar varna

    jis taraf maiñ huuñ vahāñ chāroñ taraf paanī hai

    jo siyah-fām hai andar taraf se jitnā

    us ke chehre pe yahāñ utnī tābānī hai

    mausamoñ se abhī māyūs nahīñ huuñ yaksar

    ik havā hai jo abhī merī taraf aanī hai

    dil meñ kyā sūrat-e-hālāt hai khultā nahīñ kuchh

    kyā kamī hai yahāñ kis shai farāvānī hai

    ye ajab tarha bāzār-e-suḳhan hai ki jahāñ

    maiñ nāyāb huuñ aur merī arzānī hai

    āzmā.ish meñ rakhtā huuñ sadā ḳhud ko 'zafar'

    merī mushkil sarāsar mirī āsānī hai

    kufr se ye jo munawwar meri peshani hai

    zahir is se bhi mera jazba-e-imani hai

    ye jo yaksui mayassar hai mujhe sham o sahar

    sar-ba-sar mere liye wajh-e-pareshani hai

    is kinare pe faqat main hun akela KHali

    nahr ke dusri jaanib meri hairani hai

    KHak uDti hai to har-su mere andar warna

    jis taraf main hun wahan chaaron taraf pani hai

    jo siyah-fam hai andar ki taraf se jitna

    us ke chehre pe yahan utni hi tabani hai

    mausamon se abhi mayus nahin hun yaksar

    ek hawa hai jo abhi meri taraf aani hai

    dil mein kya surat-e-haalat hai khulta nahin kuchh

    kya kami hai yahan kis shai ki farawani hai

    ye ajab tarha ka bazar-e-suKHan hai ki jahan

    main hi nayab hun aur meri hi arzani hai

    aazmaish mein hi rakhta hun sada KHud ko 'zafar'

    meri mushkil hi sarasar meri aasani hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now