Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kushad zehn-o-dil-o-gosh ki zarurat hai

Jafar Baluch

kushad zehn-o-dil-o-gosh ki zarurat hai

Jafar Baluch

MORE BYJafar Baluch

    kushād zehn-o-dil-o-gosh zarūrat hai

    ye zindagī hai yahāñ hosh zarūrat hai

    sunā.ī degī yaqīnan zamīr āvāz

    muḳhātibīn-e-subuk-gosh zarūrat hai

    ab ehtiyāj nahīñ sarv-qāmatoñ mujhe

    mujhe to ab kisī ham-dosh zarūrat hai

    ḳharosh-e-ḳhum bharam kholnā hai kyā mushkil

    bas ek rind-e-balā-nosh zarūrat hai

    nigār-e-sub.h ke aañsū sameTne ke liye

    guloñ ko vus.at-e-āġhosh zarūrat hai

    kahīñ faqat mutakallim sukūt hājat

    kahīñ takallum-e-ḳhāmosh zarūrat hai

    kushad zehn-o-dil-o-gosh ki zarurat hai

    ye zindagi hai yahan hosh ki zarurat hai

    sunai degi yaqinan zamir ki aawaz

    muKHatibin-e-subuk-gosh ki zarurat hai

    ab ehtiyaj nahin sarw-qamaton ki mujhe

    mujhe to ab kisi ham-dosh ki zarurat hai

    KHarosh-e-KHum ka bharam kholna hai kya mushkil

    bas ek rind-e-bala-nosh ki zarurat hai

    nigar-e-subh ke aansu sameTne ke liye

    gulon ko wusat-e-aghosh ki zarurat hai

    kahin faqat mutakallim sukut ki hajat

    kahin takallum-e-KHamosh ki zarurat hai

    Source:

    Aqleem (Pg. 53)

    • Author: Jafar Baloch
      • Edition: 1986
      • Publisher: Maktaba aalia, Urdu Bazar Lahore
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now