Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ku-ba-ku hota nahin ya dar-ba-dar hota nahin

Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

ku-ba-ku hota nahin ya dar-ba-dar hota nahin

Pundit Amar Nath Hoshiyarpuri

MORE BYPundit Amar Nath Hoshiyarpuri

    kū-ba-kū hotā nahīñ dar-ba-dar hotā nahīñ

    ḳhūn-e-nāhaq kis taraf shām-o-sahar hotā nahīñ

    har shajar ai dīda-e-tar bārvar hotā nahīñ

    har sadaf god meñ jaise guhar hotā nahīñ

    sunte aa.e haiñ ki shar badla shar hotā nahīñ

    āj-kal ke daur meñ aisā magar hotā nahīñ

    hai mirā honā na honā us parinde tarah

    ek par hotā hai jis ek par hotā nahīñ

    tere dīvāne ko dekhā hai hamesha sar-ba-kaf

    tere dīvāne dil hotā hai sar hotā nahīñ

    āj-kal kyā kuchh nahīñ hotā ḳhudā ke naam par

    āj-kal kyā kuchh ḳhudā ke naam par hotā nahīñ

    mohtaram qānūn-sāzo ye bhī kyā qānūn hai

    ek bhī qānūn aa.ed aap par hotā nahīñ

    ku-ba-ku hota nahin ya dar-ba-dar hota nahin

    KHun-e-nahaq kis taraf sham-o-sahar hota nahin

    har shajar ai dida-e-tar barwar hota nahin

    har sadaf ki god mein jaise guhar hota nahin

    sunte aae hain ki shar ka badla shar hota nahin

    aaj-kal ke daur mein aisa magar hota nahin

    hai mera hona na hona us parinde ki tarah

    ek par hota hai jis ka ek par hota nahin

    tere diwane ko dekha hai hamesha sar-ba-kaf

    tere diwane ka dil hota hai sar hota nahin

    aaj-kal kya kuchh nahin hota KHuda ke nam par

    aaj-kal kya kuchh KHuda ke nam par hota nahin

    mohtaram qanun-sazo ye bhi kya qanun hai

    ek bhi qanun aaed aap par hota nahin

    Source :
    • Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 165)
    • Publication : Raghu Nath suhai ummid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now