Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kucha-e-rang-e-malamat ke sab aasar ke sath

Shahid Kamal

kucha-e-rang-e-malamat ke sab aasar ke sath

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    kūcha-e-rañg-e-malāmat ke sab āsār ke saath

    aa ga.e dasht meñ ham bhī dar-o-dīvār ke saath

    dasht-e-vahshat ne mire noch shab poshāk

    toḌ paañv zanjīr bhī jhankār ke saath

    merī tanhā.ī meñ ik vajd kaifiyyat hai

    raqs kartā huuñ maiñ ik ālam-e-asrār ke saath

    gūñjtā hai mire siine ke nihāñ-ḳhāne meñ

    saañs letā hai koī vaqt raftār ke saath

    kaaT Dālūñgā maiñ ḳhud apnī anā shah-e-rag

    aaj ḳhud apne muqābil huuñ maiñ talvār ke saath

    din to ḳhvāboñ se ulajhne meñ guzar jaatā hai

    raat kaT jaatī hai ārām se āzār ke saath

    jis ko duniyā ne bhī bekār samajh rakkhā thā

    maiñ ne sīkhā hai bahut kuchh isī bekār ke saath

    nāznīnān-e-ḳhush-andāam shā.ir huuñ maiñ

    baiTh ke dekh kabhī 'shāhid'-e-tarrār ke saath

    kucha-e-rang-e-malamat ke sab aasar ke sath

    aa gae dasht mein hum bhi dar-o-diwar ke sath

    dasht-e-wahshat ne mere noch li shab ki poshak

    toD di panw ki zanjir bhi jhankar ke sath

    meri tanhai mein ek wajd ki kaifiyyat hai

    raqs karta hun main ek aalam-e-asrar ke sath

    gunjta hai mere sine ke nihan-KHane mein

    sans leta hai koi waqt ki raftar ke sath

    kaT Dalunga main KHud apni ana ki shah-e-rag

    aaj KHud apne muqabil hun main talwar ke sath

    din to KHwabon se ulajhne mein guzar jata hai

    raat kaT jati hai aaram se aazar ke sath

    jis ko duniya ne bhi bekar samajh rakkha tha

    main ne sikha hai bahut kuchh isi bekar ke sath

    nazninan-e-KHush-andaam ka shair hun main

    baiTh ke dekh kabhi 'shahid'-e-tarrar ke sath

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now