Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kucha-e-tamanna se kar-gah-e-azar tak

Abid Akhtar

kucha-e-tamanna se kar-gah-e-azar tak

Abid Akhtar

MORE BYAbid Akhtar

    kūcha-e-tamannā se kār-gāh-e-āzar tak

    sañg sañg milte haiñ vaqt ke payambar tak

    kaam ḳharābī se naam Duub jaate haiñ

    gāliyoñ zad meñ haiñ qātiloñ ke ḳhanjar tak

    intizār karte haiñ log kyoñ masīhā

    fāsla nazar hai zaḳhm-e-dil se nashtar tak

    tishnagī ruumā hai ab unhīñ ke hoñToñ par

    jo sulagtī rātoñ meñ ga.e samundar tak

    jo ghaTā.eñ bo kar bhī tishnagī ugātā hai

    us nā-murādī par hañs diyā muqaddar tak

    ḳhud ko maan lo yūsuf is liye nahīñ hai ye

    aa.ine sīḌhī se pahuñchiye sikandar tak

    un ke paañv ke nīche maah TuuT jaatā hai

    tum ki aa nahīñ sakte apne ghar ke 'aḳhtar' tak

    kucha-e-tamanna se kar-gah-e-azar tak

    sang sang milte hain waqt ke payambar tak

    kaam ki KHarabi se nam Dub jate hain

    galiyon ki zad mein hain qatilon ke KHanjar tak

    intizar karte hain log kyon masiha ka

    fasla nazar ka hai zaKHm-e-dil se nashtar tak

    tishnagi ka ruma hai ab unhin ke honTon par

    jo sulagti raaton mein pi gae samundar tak

    jo ghaTaen bo kar bhi tishnagi ugata hai

    us ki na-muradi par hans diya muqaddar tak

    KHud ko man lo yusuf is liye nahin hai ye

    aaine ki siDhi se pahunchiye sikandar tak

    un ke panw ke niche mah TuT jata hai

    tum ki aa nahin sakte apne ghar ke 'aKHtar' tak

    Source:

    Mahak (Pg. 35)

    • Author: Abid Akhtar
      • Publisher: The Printing House, Bhopal
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now