Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kufa-e-shab ne jo tabir ki had jari ki

Mohsin Changezi

kufa-e-shab ne jo tabir ki had jari ki

Mohsin Changezi

MORE BYMohsin Changezi

    kūfa-e-shab ne jo ta.abīr had jaarī

    maiñ ne jalte hue ḳhvāboñ azā-dārī

    vaqt ne us ke muqaddar meñ likhī tārīkī

    jis ne chaḌhte hue sūraj taraf-dārī

    dil dhaḌakne pe musir thā so dhaḌaktā gayā

    lamha-e-dīd āñkhoñ ne nigah-dārī

    tāq-e-har-chashm pe ḳhvāboñ ke diye bujh se ga.e

    kuchh havā aisī chalī shahr meñ bedārī

    sukh kirdār nibhāne ke liye umr tamām

    maiñ ne rotī huī āñkhoñ se adākārī

    kufa-e-shab ne jo tabir ki had jari ki

    main ne jalte hue KHwabon ki aza-dari ki

    waqt ne us ke muqaddar mein likhi tariki

    jis ne chaDhte hue suraj ki taraf-dari ki

    dil dhaDakne pe musir tha so dhaDakta hi gaya

    lamha-e-did ki aankhon ne nigah-dari ki

    taq-e-har-chashm pe KHwabon ke diye bujh se gae

    kuchh hawa aisi chali shahr mein bedari ki

    sukh ka kirdar nibhane ke liye umr tamam

    main ne roti hui aankhon se adakari ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now