Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya aae tum jo aae ghaDi do ghaDi ke baad

Shaikh Ibrahim Zauq

kya aae tum jo aae ghaDi do ghaDi ke baad

Shaikh Ibrahim Zauq

MORE BYShaikh Ibrahim Zauq

    kyā aa.e tum jo aa.e ghaḌī do ghaḌī ke baad

    siine meñ hogī saañs aḌī do ghaḌī ke baad

    to what avail is if you come after such a wait

    my breath belabours in my breast, it may be too late

    kyā rokā apne girye ko ham ne ki lag ga.ī

    phir vo āñsuoñ jhaḌī do ghaḌī ke baad

    how the river of my tears I managed to restrain

    the cataract, soon afterwards, was flowing again

    koī ghaḌī agar vo mulā.em hue to kyā

    kah baiTheñge phir ek kaḌī do ghaḌī ke baad

    what is the point if she is kind for a while today?

    for moments later something harsh she will surely say

    us lāl-e-lab ke ham ne liye bose is qadar

    sab uḌ ga.ī misī dhaḌī do ghaḌī ke baad

    with such passion did I kiss her crimson lips today

    the colour of her painted lips soon was washed away

    allāh re zof-e-sīna se har āh-e-be-asar

    lab tak jo pahuñchī bhī to chaḌhī do ghaḌī ke baad

    Lord my weakness caused each prayer to be of no avail

    even though it reached my lips, in rising it did fail

    kal us se ham ne tark-e-mulāqāt to kyā

    phir us baġhair kal na paḌī do ghaḌī ke baad

    what if yesterday I swore to never meet or see

    without her heart was restless then momentarily

    the do ghaḌī se shaiḳh sheḳhī baghārte

    saarī vo sheḳhī un jhaḌī do ghaḌī ke baad

    for a time the priest did go on bragging endlessly

    but his swagger soon thereafter vanished suddenly

    kahtā rahā kuchh us se adū do ghaḌī talak

    ġhammāz ne phir aur jaḌī do ghaḌī ke baad

    my rival kept talking to her quite a while you see

    thus the rascal further added to his calumny

    parvāna gird sham.a ke shab do ghaḌī rahā

    phir dekhī us ḳhaak paḌī do ghaḌī ke baad

    for a while the moth did then, circle the flame around

    later then I saw its ashes heaped there on the ground

    do ghaḌī vaada na kar dekh jald aa

    aane meñ hogī der baḌī do ghaḌī ke baad

    do not pledge to come at length, I beg you do make speed

    any further you delay, will be too late indeed

    go do ghaḌī tak us ne na dekhā idhar to kyā

    āḳhir hamīñ se aañkh laḌī do ghaḌī ke baad

    what if she did not glance this way for a moments few

    finally our eyes did meet after those moments two

    kyā jaane do ghaḌī vo rahe 'zauq' kis tarah

    phir to na Thahre paañv ghaḌī do ghaḌī ke baad

    for so long, I wonder how Zauq managed to sustain

    when even for two moments still his feet do not remain

    kya aae tum jo aae ghaDi do ghaDi ke baad

    sine mein hogi sans aDi do ghaDi ke baad

    to what avail is if you come after such a wait

    my breath belabours in my breast, it may be too late

    kya roka apne girye ko hum ne ki lag gai

    phir wo hi aansuon ki jhaDi do ghaDi ke baad

    how the river of my tears I managed to restrain

    the cataract, soon afterwards, was flowing again

    koi ghaDi agar wo mulaem hue to kya

    kah baiThenge phir ek kaDi do ghaDi ke baad

    what is the point if she is kind for a while today?

    for moments later something harsh she will surely say

    us lal-e-lab ke hum ne liye bose is qadar

    sab uD gai misi ki dhaDi do ghaDi ke baad

    with such passion did I kiss her crimson lips today

    the colour of her painted lips soon was washed away

    allah re zof-e-sina se har aah-e-be-asar

    lab tak jo pahunchi bhi to chaDhi do ghaDi ke baad

    Lord my weakness caused each prayer to be of no avail

    even though it reached my lips, in rising it did fail

    kal us se hum ne tark-e-mulaqat ki to kya

    phir us baghair kal na paDi do ghaDi ke baad

    what if yesterday I swore to never meet or see

    without her heart was restless then momentarily

    the do ghaDi se shaiKH ji sheKHi baghaarte

    sari wo sheKHi un ki jhaDi do ghaDi ke baad

    for a time the priest did go on bragging endlessly

    but his swagger soon thereafter vanished suddenly

    kahta raha kuchh us se adu do ghaDi talak

    ghammaz ne phir aur jaDi do ghaDi ke baad

    my rival kept talking to her quite a while you see

    thus the rascal further added to his calumny

    parwana gird shama ke shab do ghaDi raha

    phir dekhi us ki KHak paDi do ghaDi ke baad

    for a while the moth did then, circle the flame around

    later then I saw its ashes heaped there on the ground

    tu do ghaDi ka wada na kar dekh jald aa

    aane mein hogi der baDi do ghaDi ke baad

    do not pledge to come at length, I beg you do make speed

    any further you delay, will be too late indeed

    go do ghaDi tak us ne na dekha idhar to kya

    aaKHir hamin se aankh laDi do ghaDi ke baad

    what if she did not glance this way for a moments few

    finally our eyes did meet after those moments two

    kya jaane do ghaDi wo rahe 'zauq' kis tarah

    phir to na Thahre panw ghaDi do ghaDi ke baad

    for so long, I wonder how Zauq managed to sustain

    when even for two moments still his feet do not remain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now