kya baat hui ki sare manzar Dub gae hairani mein
kyā baat huī ki saare manzar Duub ga.e hairānī meñ
kyoñ ḳhauf kā siina chaak huā kyoñ aag lagī hai paanī meñ
ik shahr hamāre dil meñ hai ik shahr hamārī āñkhoñ meñ
ik mahv-e-tamāshā rahtā hai ik rahtā hai nādānī meñ
jab shaam pighalne lagtī hai to āñkheñ bhiig sī jaatī haiñ
phir ek charāġh sā jaltā hai āseb-zada vīrānī meñ
ab pūchhtī rahtī haiñ āñkheñ jab Duub ga.e aañsū aañsū
gar 'ilm na thā gahrā.ī kā to kyoñ utre the paanī meñ
kya baat hui ki sare manzar Dub gae hairani mein
kyon KHauf ka sina chaak hua kyon aag lagi hai pani mein
ek shahr hamare dil mein hai ek shahr hamari aankhon mein
ek mahw-e-tamasha rahta hai ek rahta hai nadani mein
jab sham pighalne lagti hai to aankhen bhig si jati hain
phir ek charagh sa jalta hai aaseb-zada virani mein
ab puchhti rahti hain aankhen jab Dub gae aansu aansu
gar 'ilm na tha gahrai ka to kyon utre the pani mein
- Book : Ishq (Pg. 128)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.