Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya bache dil jaan-lewa us ka har andaz hai

Nashtar Chaprawi

kya bache dil jaan-lewa us ka har andaz hai

Nashtar Chaprawi

MORE BYNashtar Chaprawi

    kyā bache dil jān-levā us har andāz hai

    ġhamza hai ishva hai shoḳhī hai adā hai naaz hai

    mahfil-e-ishrat meñ merā dil navā-pardāz hai

    nāla-e-hasrat mirā goyā sadā-e-sāz hai

    tauba bhī kar leñge ham jab vaqt us aa.egā

    hazrat-e-vā.iz dar-e-tauba abhī to baaz hai

    hogī phir be-e'tinā.ī hai abhī to iltifāt

    phir vahī anjām hogā phir vahī āġhāz hai

    dekh to is but ko zāhid aur kah īmān se

    terī hūroñ meñ ye ra.anā.ī hai ye andāz hai

    dil jigar chhid jaate haiñ aur kuchh ḳhabar hotī nahīñ

    vo nigāh-e-nāz goyā tīr-e-be-āvāz hai

    merī hastī ik muamma hai jise samjhā na maiñ

    ḳhudā ye bhī tirī qudrat koī raaz hai

    dar qafas khol de sayyād itmīnān se

    tere said-e-shauq ko kab ḳhvāhish-e-parvāz hai

    sun ke merā qissa-e-ġham un kahnā naaz se

    vaah kyā tarz-e-bayāñ hai vaah kyā andāz hai

    dil lagāte mujhe laale paḌe haiñ jaan ke

    us kyā anjām hogā jis ye āġhāz hai

    haa.e 'nashtar' vo mirā hamdard dil ġham-ḳhvār dil

    ab kahāñ hai ham-nashīñ koī kahāñ hamrāz hai

    kya bache dil jaan-lewa us ka har andaz hai

    ghamza hai ishwa hai shoKHi hai ada hai naz hai

    mahfil-e-ishrat mein mera dil nawa-pardaz hai

    nala-e-hasrat mera goya sada-e-saz hai

    tauba bhi kar lenge hum jab waqt us ka aaega

    hazrat-e-waiz dar-e-tauba abhi to baz hai

    hogi phir be-e'tinai hai abhi to iltifat

    phir wahi anjam hoga phir wahi aaghaz hai

    dekh to is but ko zahid aur kah iman se

    teri huron mein ye ranai hai ye andaz hai

    dil jigar chhid jate hain aur kuchh KHabar hoti nahin

    wo nigah-e-naz goya tir-e-be-awaz hai

    meri hasti ek muamma hai jise samjha na main

    ya KHuda ye bhi teri qudrat ka koi raaz hai

    dar qafas ka khol de sayyaad itminan se

    tere said-e-shauq ko kab KHwahish-e-parwaz hai

    sun ke mera qissa-e-gham un ka kahna naz se

    wah kya tarz-e-bayan hai wah kya andaz hai

    dil lagate hi mujhe lale paDe hain jaan ke

    us ka kya anjam hoga jis ka ye aaghaz hai

    hae 'nashtar' wo mera hamdard dil gham-KHwar dil

    ab kahan hai ham-nashin koi kahan hamraaz hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now