aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya bad-gumaniyan hain meri jaan lijiye

Joshish Azimabadi

kya bad-gumaniyan hain meri jaan lijiye

Joshish Azimabadi

MORE BYJoshish Azimabadi

    kyā bad-gumāniyāñ haiñ mirī jaan lījiye

    ye dil to hai vahī ise pahchān lījiye

    ham se to ye kabhī nahīñ hone nāseho

    suniye tumhārī baat ko aur maan lījiye

    ne aish talab hai na ishrat aarzū

    ai charḳh kis liye tirā ehsān lījiye

    gar hukm ho to kaaT ke sar aage rakhūñ

    lene is ke rakhiye na armān lījiye

    aayā huuñ tañg shahr meñ vahshat ke haath se

    chāhtā hai rāh-e-bayābān lījiye

    gar imtihān-e-ishq ho manzūr to abhī

    kartā huuñ maiñ niyāz dil o jaan lījiye

    muñh dekh nau-ḳhatoñ yahī aa.e hai ḳhayāl

    de kar ke naqd-e-jān ye qur.ān lījiye

    kya bad-gumaniyan hain meri jaan lijiye

    ye dil to hai wahi ise pahchan lijiye

    hum se to ye kabhi nahin hone ka naseho

    suniye tumhaari baat ko aur man lijiye

    ne aish ki talab hai na ishrat ki aarzu

    ai charKH kis liye tera ehsan lijiye

    gar hukm ho to kaT ke sar aage la rakhun

    lene ka is ke rakhiye na arman lijiye

    aaya hun tang shahr mein wahshat ke hath se

    ji chahta hai rah-e-bayaban lijiye

    gar imtihan-e-ishq ho manzur to abhi

    karta hun main niyaz dil o jaan lijiye

    munh dekh nau-KHaton ka yahi aae hai KHayal

    de kar ke naqd-e-jaan ye quran lijiye

    Source:

    Deewan-e-Joshish(Rekhta Website) (Pg. 365)

      • Edition: 1976
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now