Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya bataun kaisa KHud ko dar-ba-dar maine kiya

Waseem Barelvi

kya bataun kaisa KHud ko dar-ba-dar maine kiya

Waseem Barelvi

MORE BYWaseem Barelvi

    kyā batā.ūñ kaisā ḳhud ko dar-ba-dar maiñ ne kiyā

    umr-bhar kis kis ke hisse safar maiñ ne kiyā

    to nafrat bhī na kar pā.egā is shiddat ke saath

    jis balā pyaar tujh se be-ḳhabar maiñ ne kiyā

    kaise bachchoñ ko batā.ūñ rāstoñ ke pech-o-ḳham

    zindagī-bhar to kitāboñ safar maiñ ne kiyā

    kis ko fursat thī ki batlātā tujhe itnī baat

    ḳhud se kyā bartāv tujh se chhūT kar maiñ ne kiyā

    chand jazbātī se rishtoñ ke bachāne ko 'vasīm'

    kaisā kaisā jabr apne aap par maiñ ne kiyā

    kya bataun kaisa KHud ko dar-ba-dar main ne kiya

    umr-bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya

    tu to nafrat bhi na kar paega is shiddat ke sath

    jis bala ka pyar tujh se be-KHabar main ne kiya

    kaise bachchon ko bataun raston ke pech-o-KHam

    zindagi-bhar to kitabon ka safar main ne kiya

    kis ko fursat thi ki batlata tujhe itni si baat

    KHud se kya bartaw tujh se chhuT kar main ne kiya

    chand jazbaati se rishton ke bachane ko 'wasim'

    kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya

    Source:

    Mera Kiya (Pg. 63)

    • Author: Waseem Barelvi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Maktaba Jamia Ltd.
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now