Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya bataun tujhe hamdam meri haalat kya hai

Gustakh Rampuri

kya bataun tujhe hamdam meri haalat kya hai

Gustakh Rampuri

MORE BYGustakh Rampuri

    kyā batā.ūñ tujhe hamdam mirī hālat kyā hai

    to vāqif hai ki us shoḳh aadat kyā hai

    haa.e vo vasl shab dast-darāzī merī

    us kahnā ki Thahar abhī aafat kyā hai

    mujh se vo kahte haiñ insāf se tum kah do

    zar na ho paas to ulfat zarūrat kyā hai

    lākhoñ āshiq haiñ zamāne meñ hazāroñ dilbar

    aap ko merī mujhe aap hājat kyā hai

    ham to is qaul pe karte haiñ amal ai 'gustāḳh'

    jo hasīnoñ meñ na ho sarf vo daulat kyā hai

    kya bataun tujhe hamdam meri haalat kya hai

    tu to waqif hai ki us shoKH ki aadat kya hai

    hae wo wasl ki shab dast-daraazi meri

    us ka kahna ki Thahar ja abhi aafat kya hai

    mujh se wo kahte hain insaf se tum hi kah do

    zar na ho pas to ulfat ki zarurat kya hai

    lakhon aashiq hain zamane mein hazaron dilbar

    aap ko meri mujhe aap ki hajat kya hai

    hum to is qaul pe karte hain amal ai 'gustaKH'

    jo hasinon mein na ho sarf wo daulat kya hai

    Source:

    Deewan-e-Gustakh (Pg. 12)

    • Author: Gustakh Rampuri
      • Publisher: Mohammad Abdul Lateef Lateef
      • Year of Publication: 1919
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now