kya bharosa hai unhen chhoD ke lachaar na ja
kyā bharosa hai unheñ chhoḌ ke lāchār na jā
bin tire mar hī na jaa.eñ tire bīmār na jā
mujh ko rokā thā sabhī ne ki tire kūche meñ
jo bhī jaatā hai vo hotā hai giraftār na jā
nāḳhudā se bhī marāsim nahīñ achchhe tere
aur TuuTe hue kashtī ke bhī patvār na jā
jalte sahrā kā safar hai ye mohabbat jis meñ
koī bādal na kahīñ sāya-e-ashjār na jā
bin hamāre na tire naaz uThā.egā koī
soch le chhoḌ ke ham aise parastār na jā
kya bharosa hai unhen chhoD ke lachaar na ja
bin tere mar hi na jaen tere bimar na ja
mujh ko roka tha sabhi ne ki tere kuche mein
jo bhi jata hai wo hota hai giraftar na ja
naKHuda se bhi marasim nahin achchhe tere
aur TuTe hue kashti ke bhi patwar na ja
jalte sahra ka safar hai ye mohabbat jis mein
koi baadal na kahin saya-e-ashjar na ja
bin hamare na tere naz uThaega koi
soch le chhoD ke hum aise parastar na ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.