kya chaak kiya tu ne meri jaan mere dil ko
kyā chaak kiyā tū ne mirī jaañ mire dil ko
merā hī banāyā hai garebāñ mire dil ko
tujh ko hai qasam dard-e-mohabbat mire dil kī
tū chain na denā kisī unvāñ mire dil ko
yā us but-e-gumrāh ko lā rāh-e-vafā par
yā pher de ai gardish-e-daurāñ mire dil ko
achchhī kahī achchhā nahīñ kuchh dil kā lagānā
ye lag ga.ī ai nāseh-e-nādāñ mire dil ko
tāsīr dikhā jaa.e mohabbat to ajab kyā
siine se lagā aaj mirī jaañ mire dil ko
kuchh duur nahīñ but-kada-o-kā'ba samajh leñ
kāfir tirī āñkhoñ ko musalmāñ mire dil ko
hai lutf to ye tujh ko ho mahshar meñ bhī inkār
aur 'dāġh' kahe tū ne liyā haañ mire dil ko
kya chaak kiya tu ne meri jaan mere dil ko
mera hi banaya hai gareban mere dil ko
tujh ko hai qasam dard-e-mohabbat mere dil ki
tu chain na dena kisi unwan mere dil ko
ya us but-e-gumrah ko la rah-e-wafa par
ya pher de ai gardish-e-dauran mere dil ko
achchhi kahi achchha nahin kuchh dil ka lagana
ye lag gai ai naseh-e-nadan mere dil ko
tasir dikha jae mohabbat to ajab kya
sine se laga aaj meri jaan mere dil ko
kuchh dur nahin but-kada-o-ka'ba samajh len
kafir teri aankhon ko musalman mere dil ko
hai lutf to ye tujh ko ho mahshar mein bhi inkar
aur 'dagh' kahe tu ne liya han mere dil ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.