Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya chamke ab faqat meri nale ki shaeri

Mushafi Ghulam Hamdani

kya chamke ab faqat meri nale ki shaeri

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    kyā chamke ab faqat mirī naale shā.erī

    is ahd meñ hai teġh bhāle shā.erī

    sāmān sab tarah ho laḌne jin ke paas

    hai aaj kal unhīñ masāle shā.erī

    shā.er risāla-dār na dekhe na maiñ sune

    ījād hai unheñ risāle shā.erī

    mard-e-galīm-posh ko yaañ pūchhtā hai kaun

    gar garm hai to shaal doshāle shā.erī

    ye sher garm garm paḌhe jaate yuuñ nahīñ

    muñh boltī hai garm nivāle shā.erī

    naḳhra bhī sher meñ ho to haañ 'soz' ho

    kis kaam vagarna chhināle shā.erī

    dīvān jin ke kafsh se afzūñ nahīñ zarā

    karte haiñ kyā vo log kasāle shā.erī

    chūne ke kāġhazoñ pe jhaḌeñ haiñ jo apne sher

    ya.anī ki aa rahī hai divāle shā.erī

    kaisā baḌh chale vo kalām-e-sharīf par

    sarsabz ho kabhī na rizāle shā.erī

    ba.azoñ ne tab to sher pe 'hasrat' ke yuuñ kahā

    kyā dāl-mūTh bechne vaale shā.erī

    huuñ 'mus.hafī' maiñ tājir-e-mulk-e-suḳhan ki hai

    'ḳhusro' tarah yaañ bhī aTāle shā.erī

    kya chamke ab faqat meri nale ki shaeri

    is ahd mein hai tegh ki bhaale ki shaeri

    saman sab tarah ka ho laDne ka jin ke pas

    hai aaj kal unhin ki masale ki shaeri

    shaer risala-dar na dekhe na main sune

    ijad hai unhen ka risale ki shaeri

    mard-e-galim-posh ko yan puchhta hai kaun

    gar garm hai to shaal doshaale ki shaeri

    ye sher garm garm paDhe jate yun nahin

    munh bolti hai garm niwale ki shaeri

    naKHra bhi sher mein ho to han 'soz' ka sa ho

    kis kaam ki wagarna chhinale ki shaeri

    diwan jin ke kafsh se afzun nahin zara

    karte hain kya wo log kasale ki shaeri

    chune ke kaghazon pe jhaDen hain jo apne sher

    yani ki aa rahi hai diwale ki shaeri

    kaisa hi baDh chale wo kalam-e-sharif par

    sarsabz ho kabhi na rizale ki shaeri

    bazon ne tab to sher pe 'hasrat' ke yun kaha

    kya dal-muTh bechne wale ki shaeri

    hun 'mushafi' main tajir-e-mulk-e-suKHan ki hai

    'KHusro' ki tarah yan bhi aTale ki shaeri

    Source:

    kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 274)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now