Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya chiz hai ye sai-e-paiham kya jazba-e-kaamil hota hai

Shakeb Jalali

kya chiz hai ye sai-e-paiham kya jazba-e-kaamil hota hai

Shakeb Jalali

MORE BYShakeb Jalali

    kyā chiiz hai ye sa.ī-e-paiham kyā jazba-e-kāmil hotā hai

    allāh ko agar manzūr na ho har maqsad bātil hotā hai

    ik Tiis paiham paatā huuñ kyā is ko mohabbat kahte haiñ

    mahsūs mujhe mīThā mīThā kuchh dard ai dil hotā hai

    taskīn ko dhokā dete haiñ nākām tamannā ye kah kar

    har-gām pe manzil hotī hai har mauj meñ sāhil hotā hai

    ye rañj-o-alam mere liye ab ziist unvāñ haiñ hamdam

    is duniyā meñ pahle pahle har kaam mushkil hotā hai

    taskīn kyuuñ mil jaatī hai mizrāb-e-dast-e-shauq mujhe

    har tār-e-garebāñ kyā vahshat ke saaz hāmil hotā hai

    kya chiz hai ye sai-e-paiham kya jazba-e-kaamil hota hai

    allah ko agar manzur na ho har maqsad baatil hota hai

    ek Tis si paiham pata hun kya is ko mohabbat kahte hain

    mahsus mujhe miTha miTha kuchh dard sa ai dil hota hai

    taskin ko dhoka dete hain nakaam tamanna ye kah kar

    har-gam pe manzil hoti hai har mauj mein sahil hota hai

    ye ranj-o-alam hi mere liye ab zist ka unwan hain hamdam

    is duniya mein pahle pahle har kaam hi mushkil hota hai

    taskin si kyun mil jati hai mizrab-e-dast-e-shauq mujhe

    har tar-e-gareban kya wahshat ke saz ka hamil hota hai

    Source:

    Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 219)

    • Author: Mohd Nasir Khan
      • Edition: 2007
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now