Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kya daur hai ki jo bhi suKHanwar mila mujhe

Adeeb Sohail

kya daur hai ki jo bhi suKHanwar mila mujhe

Adeeb Sohail

MORE BYAdeeb Sohail

    kyā daur hai ki jo bhī suḳhanvar milā mujhe

    gum-gashta apnī zaat ke andar milā mujhe

    kis pyaar se gayā thā tirī āstīñ ke paas

    shāḳh-e-hinā chaah meñ ḳhanjar milā mujhe

    is zulmat-e-hayāt meñ ik lafz pyaar

    jab mil gayā to māh-e-munavvar milā mujhe

    sūrat-garān-e-asr thā intizār-kash

    terī rah-e-talab meñ jo patthar milā mujhe

    roz-e-azal se kār-gah-e-hast meñ 'suhail'

    dil ġham-e-hayāt mehvar milā mujhe

    kya daur hai ki jo bhi suKHanwar mila mujhe

    gum-gashta apni zat ke andar mila mujhe

    kis pyar se gaya tha teri aastin ke pas

    shaKH-e-hina ki chah mein KHanjar mila mujhe

    is zulmat-e-hayat mein ek lafz pyar ka

    jab mil gaya to mah-e-munawwar mila mujhe

    surat-garan-e-asr ka tha intizar-kash

    teri rah-e-talab mein jo patthar mila mujhe

    roz-e-azal se kar-gah-e-hast mein 'suhail'

    dil hi gham-e-hayat ka mehwar mila mujhe

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 674)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now